Monday, September 29, 2008

Sub yeh kahte haiN main tawaaiif hooN


Mera koTha mera muqaddar hai
Kaun kahta hai yeh mera ghar hai

Haar ke zindagee se aayee hooN
Main yahaN kub Khushee se aaye hooN

Main ne pahne jo paaoN men ghuNgroo
Mujh ko kahne laga tawaaiif too

Yeh nah socha keh Gham ki maaree hooN
Apni majbooriyoN se haari hooN

Jab baghawat meN sir uThaya hai
Main ne zalim ka koRa khaya hai

Ek pal bhee jo paaoN rok liya
Mujh ko subne lahoo lahaan kiya

Yaad aata hai mujh ko bhee bachpan
Mere maaN-baap unka woh aaNgan

mere dil per bhee mastee chaayee thee
maiN ne bhe ik patang uRaayee thee

Aaj Khud bun gayee hooN ek pataNg
Roz uRtee hoon ek Door ke sung

Mere paaon haiN aur ghuNgroo haiN
Ab yeh aanKheN haiN aur aansu haiN

Muskurahat ka ab nah koyii nishasn
Naam tou ab bhi hai mira “Muskaan”

Kaun hai jis se apna Haal kahoon
Sub yeh kahte haiN main tawaaiif hooN

1 comment:

  1. Anonymous4:29 PM

    nira ye kalaam dil ko chalni kar deta hai..aurat ka dard ek aurat hi jaane..kitne sachaai se bayaankar diya hai har sachaai ko..keep writing..u write awesome.

    ReplyDelete