Monday, September 29, 2008

Zindagee

Ek buree ik achchee zindagee
Sub ki apni apni zindagee

Kisee ke man meN har pal uljhan
Ik pal chain nah paye hai man

Bhooka dhoop men koyee bhaage
Peechey inshan roTee aage

Kuch mehloN meN rahne waale
woh takleef nah sahne waale

unki hai aaraam zindagee
Khushiyan subh.o.shaam zindagee

Woh dulhan jo sajkar aayee
Sajan keg ghar meN kya apayee

Ik sauda hai uski zindagee
Samjhauta hai uski zindagee

Ik booRha insaan bechara
Bemaari aur dard ka maara

ChoR gaye sub beTe bhayee
Kaun khilaye roz dawayee

Aur woh nanha bhooka bachcha
Doodh keg gham men rota bachcha

maaN bachche ke gham kee satayee
usko bhooka dekh nah payee

bachche per yeh tyag kiya hai
maaN ne jism ko bech diya hai

sub ka apna alag hai jeevan
shaant nahiN hai aaj koyee man

buree lage ya achchi zindagee
sub jeete haiN apni zindagee

No comments:

Post a Comment