Friday, July 13, 2007

Muje kaunsa sandesh soona rahe hain

Yeh kale badal kyun gadgada rahe hain
Mere dil par kyun mandra rahe hain
Dard ho raha hai is tarah mano
Bijli ke taar dil ko chooye ja rahe hain

Ghargarahat yeh kaisi badh gayi hai
Muje kaunsa sandesh soona rahe hain
Darrr ke marre main simat rahi hunn
Kyun mujhe is kadar tadapa rahe hain

Barsaat bhi kehar dhaa rahi hai
Har aor boonde barsa rahi hai
Meri ankho ko bhi na baksha isne
Aaj muje is kadar kyun rula rahe hain

Pehle bhi bijli chamki thi sanam,
Badal garje the barish huyi thi humdum
Pehle tanha nahi thi saath they hum tum
Yeh barish tumhari yaad dila rahe hain

Wo baat thodi purani, bisree ek kahani hai
Sawan phir se ayya hai, paas nahi ho tum
Kal ka bhigna bhi yaad hai mujko
Aaj tanhaayi ke pal tadapa rahe hain

Tum mein simat jana yaad hai mujko
Jab tum ne mera haat thaama thaa
Aaj vo lamhe dil sulgaa rahe hain
Yaad purani dila, badan dhekkha rahe hain

Aaj hum kale badlon main ghirain hain.
Gila badan liye baarish main tanha khade hain
Tamanna hai yeh baaris raakh karr dey muje
teri yaad mein behte aasnu, chingari bujha rahe hain

No comments:

Post a Comment