Friday, May 05, 2006

Ruth aati jati hai.

Mausam badalte hain ruth aati jaati hai
Kahin phool dikhte hai toh, kahin patjhad hoti hai
Garmi ke mausam mein ghar ki chath
Yad aati hai.
Sawan mein zoolon ki yad satati hai.
Ruth aati jati hai.

Pahadhon par barfily fizayen dikhti hain
Baghon mein haryali muskaan failati hai.
Har mausam mein ek alag masti
Ka mela hota hai.
Waqt gujarta hai, sal beetain hain
Har ruth mein hum unke sath chalte hain
Ruth aati jati hai.

No comments:

Post a Comment