Friday, May 05, 2006

Ae chanda aaj ki raat yahin tahar jana

Ae chanda aaj ki raat yahin tahar jana.
Taron ko bhi sath le aana.
Aaj unse milne ki raat hai.
Ghawah rahna is mulakatka ka.
Jab hum door ho jayen kabhi
Tab dil ka sandesh suna aana

Chahe rasta lamba ho ya,
Desh begana
Par humse door naa jana.
Ae chand aaj yahin tahar jana.

Likhenge khat agar sunayenge tumhe.
Dilki baat un tak pahucha aana.
Ae chand aaj yahin thahar jana

No comments:

Post a Comment