Monday, September 18, 2006

Tumhari ankhon mein jo pyaar dekha hai.

Tumhari ankhon mein aaj jo pyaar dekha hai.
Dil kee dharakno ko jo dede wo karar dekha hai
Jo tum zubanse na kah sako vo afsana dekha hai
Maine tumharee ankhon main zamana dekha hai

Lub par jo baat atakti hai vo bahana dekha hai
Mera kho jana tumhaar bahonme chhipana dekha hai
Ankho mein tamanna, dil mein chuppaJana dekha hai
Chhatt par khule akaash taale raatonko jagna dekha hai

Tumhre sath lamhon mein rat o din guzar jana dekha hai
Dhakan mein basane ki abhilasha ka khazana dekha hai
Pure na honge yeh khawab, Basane bhahana dekha hai
Sapne main puree zindgee poora Ek zamana dekha hai

No comments:

Post a Comment