Monday, September 18, 2006

Ek majboor garib biwi ki dasta.n

Ek majboor garib biwi ki dasta.n
Jo har har aur se lachar hai,
Par apne dharma ke sath judi huyi hai.
Dekhti hai sab ki bebasi ko
Liye hazar sawal maan mein

Padhi likhi hoon, kya apni zimmedari
Bant loon.
Ghar se nikal kar ek naukri talash kar loon.
Le aaun chand paise, jo sab ki bhook mitta sake.
Bujurg baba ke illaz ke kaam aa sake.

Halat aise nahi the, waqt ne sab kuch cheen liya.
Daman khali karke usmein mayussi bhar di hai.
Yaad karke dil tadap jata hai.

Hadhson.ne mein maa ki maut ho gayi.
Kafan bhi na naseeb ho saka,
Akhir safar bhi gairon ka mauhtaz raha.
Pati ne sab kuch kho diya, bachon ke
Muh se roti bhi cheen gayi.

Kahan mahalon mein raj karne wali
Sadakon ki khak chaan.ne lagi.
Gadi mein ghoom.ne wali
Aaj bheed mein dhaake kha rahi hai.

Har cheez se woh mohtaz hai,
Garibhi ki chaki mein peessrahi hai.
Rashan aur pani ki Qatar mein uski
Zindgi simmat gayi hai .

Aaj ussne dil mein ek inschaye kiya hai.
Kuch banker hai usse sab ke samne aana..
Aapne pariwar chahre hai wo noor laana hai,
Jo halat ne unse cheen liya hai.

No comments:

Post a Comment