Thursday, June 15, 2006

Naumeed ki roshni mein
Umeed ki kiran jagmagayi hai.
Badhe inrazaar ke baad
Aaj meri guriya mere ghar aayi hai.

Usske nazuk haaton ne jab thama
Mera haat.
Ek pyaari si muskaan ki huyi mujse
Mulakat.
Waqt tham gaya mera, jannat mil
Gayi mujhe.

Din, mahine aur saal gujarte gaye.
Meri woh nanhi si guriya badhti
Chali gayi.
Mere dil mein basti chali gayi.

Pal pal badhti bitya mein.
Kayi badlav aayen hain
Kabhi woh alhadh si guriya rani hai
Aur kabhi woh sabki nani hai.
Usski baton mein muje, apni
Jhalak dikhayi deti hai.

Aaj vo sundar nari dil ki badhi
Pyaari hai.
Meri vo dulari, sabse vo nirali
Yeh meri bitya rani hai

No comments:

Post a Comment