Thursday, June 15, 2006

Gairon mein apna paya hai usse.

Kitni khushiyan hain charon aur.
Sab ki muradain puri huyi hain.
Rab ne aaj sabki baat soon li hai.
Bin mange bhar diyen hain daaman
Ussne
Itni khubsoorat saugaat di hai.

Pyaar ke sadke karti hoon main
Lakhon ki bhid mein dhoonda
Hai usse.
Gairon mein apna paya hai usse.
Badhi mushkil se apna banaya hai.

Judai ki lambi raat aab khatam
Ho jayegi.
Badhi khubsoorti se yeh zindgi
Gujar jayegi.
Kabhi juda na honge aab hum.
Aaj Rab se yeh hi dua mangte hain.

No comments:

Post a Comment