Thursday, April 18, 2013

Ghazal


Dil mera nahiN ab to mere iktiyaar me
sab kuch bhulaye baithe haiN hum unke pyaar me
chahat ka rang unki hampe aisa chadh gaya
har wqat doobe rahte hain hum to khumaar me
hamko yaqiN hai aap chale aayenge ik din
hamne jala rakhe hai diye intazaar me
hum jante hain aap to fareb karenge
Jootha hi sahi chain to hai aitbaar me
hamko tu pyaar se hi faqat maar sakega
varna asar nahi tere khanzar ki dhaar me
'nira' ye soch kar ke taslli na khudko do
paya hai usko hamne yaqinan hazaar meN

No comments:

Post a Comment