Thursday, September 03, 2009

Mera bach

ek sawal mere dil mein aaj bhi uth raha hai
kitna komal tumhare chera raha hoga
tum mere liye ek vardan the rab se
main hi kabeel maa naa ban saki

Tumhe nani ki tarha ik pyaar
karne wali maa milni chaiye thi
jo tumhe pyaar karti tumhari hifazat karti
shayad tum khush rahte unke sang
mamata tumhe khub milti

Tum nahi jante muje apne karni par
kitna afsoos hai,
kash vo waqt main lauta pati
nahi janti kya kar rahi thi
us waqt main khud bhi bachi thi

itni be-bas aur majboor mein thi
galani se ghootan hoti hai aaj bhi
tumhe bhulna bahut mushkil hai
khud ko samabhalna mushkil haii
teri yaad mein roz tadapti

tum muj mein kya kar rahe the
jab tumne apni akhri dadkan chori thi
tum toh mujpar hi nirbhar the
maine miitadi tumhari hasti
meri soch us waqt stambh thi

kash main tum se jagah badal sakti
ek pal mein vo kar leti beta
par tum kismat wale ho
tum rab ki chaaye mein ho
apne gunaah ko aise samjhati

aise koi din nahi gaya bina yaad kiye
aor dil mein galani rahegi har waqt
par bhitar hi bhitar muje pata hai
hum kabhi alag nahi honge.
Sapno mein tumse baat karti

Khash waqt ne muje rasta dikhaya hota
aisa din kabhi naa aaya hota
mera chand aaj mere saath hota
meri ghar bhi khushaal hota
zindgi meri yun naa meeth.ti

No comments:

Post a Comment