Thursday, September 24, 2009

Kaise tuz bin reh payoong

Kaise baithoon doli mein maaN
Aayegi jab yaad teri
Yunhi ansoo bahayoongi
Tuz bin reh naa payooNgi

Vo pal jo tere angan mein
Maine itne din guzaare hain
Vo deewarain jin par maine
Rangon ke nishan banaye hain
Kaise unko bhul payoongi

Paata hai maa meri guriya
Aaj bhi sandook mein rakhi hai
Kya hua jo uski ek tang choti hai
Kaise usko chor jaayoongi

Angan mein bhikri hain yaadain
Buhaar ke bhi naa samait payoongi
Aayegi teri yaad din, raat mujko
Kaise tuz bin reh paayongi

Babul ki bhikhalti ankhe
Dil mera cheer deti hain
Bhai ke nanhe haath muje
Jaane se rok lete hain
Inki ankhon se nikle ansoon
Kaise main dekh payoongi

Kya beti tuz par bojh hai maaN
KyuN nahi reh sakhti tere saath
Bhai bhi toh aalayega bhabhi
Jamayee ko bhi le aa ghar
Maa chal aa kuch naya karain
Aaj naya ithaas rachain
Nayi kuch roshni jagaayein

baata maaN tu hi baata
Kaise tuz bin reh payoongi

2 comments: