Friday, March 27, 2009

Andheri Raat

Kahin andheri raat mein bacha rota hai
Aurat roti hai koi aziz marta hai

Kahin andheri raat mein rooh roti hai
Kahin raat mein insaniyat marti hai

Insaan agwah hote hain maare jate hain
Kahin raat mein haqeekat zinda rahti hai

Kaise log marte hain koi awaaz nahi
Kahin raat mein akelapan panapta hai

Kahi andheri raat mein vo akeli marti hai
Kahin aisi raat mein dulhan tadapti hai

Darwaje par diye jalye ghariyan ginti hai
Kahin aisi raat mein.Vo roshni dhoonti hai.

nira

2 comments:

  1. raat ne roshni dhoondna hi to asal kavita hai....mubark....amarjeet kaunke@yahoo.co.in

    ReplyDelete
  2. amarjit ji
    namaste,
    shukriya aapko pasand aayi rachna,
    yunhi aate rahiyega.
    nira

    ReplyDelete