Monday, September 15, 2008

Vish se bhara ye "V' akshar...


"V" akshar itna vinashkari kyun hai
Kyun iss.se milte shabd rote hain
Vaishya, viklaang, vidhwa teeno
Dard se bhare hote hain.

Vaishya koi bhi janam se nahi hoti
Haalat ya majboori usse kothe par
Le jati hai., bhandh kar ghoongroo
Nachti hai rizaati hain. Chhup kar
Ansoo bahati hai.
Do pyaar ke bolon ko taras
Jati hai,
Maut ki duhayi ha roz
Khuda se mangti

Viklang koi bhi
Marzi se nahi janam leta
Phir kyun sab grina se dekhte hai
Usse bhi haq hai
Utna hi adhikar hai
Jitna sab ko hai.
Kyun usse char diwari tak hi
Simat kar rakhte hai
Kya usse pyrra ka huq nahi
Kya uske jazbaaton mein
Kami hai-----------
Ya duniya ka dil itna chota hai
Batao yeh kiska kasoor hai.

Vidwaaaaaaaaa
Yeh shrap ki tarha akshar hai
Jisse bhi yeh jud jaye
Uski toh zindgi lash hai
Pyaar toh khoti hai masoon
Log uska jeena bhi
Cheen lete hain
Shingar toh chhoot jata hai
Uska niwala bhi cheen lete hain
Bistar par pati ka saath jata
Kambhakt bistar bhi
Cheen lete hain

Har aor vinash hi milta hai
V shabd ka kaisa yeh vikar hai
Vaishya, viklang vidwa.
Sare hi is vinash ka shikaar hai

4 comments:

  1. "Vaishya koi bhi janam se nahi hoti
    Haalat ya majboori usse kothe par
    Le jati hai., bhandh kar ghoongroo
    Nachti hai rizaati hain. Chhup kar"

    Bahut kuchh kahana aur likhana chahata hun par abhi koi shabd nahi hain mere paas.

    Kya tasweer kheenchi Nira ji ne
    Lazavab hai.

    ReplyDelete
  2. bahut sundar shabd-chtra kheencha hai....khoobsoorat

    -Madhuri

    ReplyDelete
  3. raj bhai
    aapko kavita pasand aaye mera likhna safal hua. hausla afzayi kar shukriya
    yunhi saath dete rahiyega.

    ReplyDelete
  4. madhuri ji
    aapka dilse shuktiya adaa karti hoon,
    aapko yahan dekhkar bahut acha laga

    ReplyDelete