Monday, September 15, 2008

Hum tera pyaar paa ker sanbhalne lage


Do qadam saaath mere woh chalne lage
Aur mere gham khushee meN badalne lage

Dil ki dehleez pe jane kaun aa gaya
dil ke armaan sare nikalne lage

Neend ne apni aaghosh meN le liya
Sham hote hi hum aankhen malne lage

Dhoop ka kaam barsaat ne kar diya
Barf ki tarah hum bhi pighalne lage

Garm saasoN ki ik Door see buNdh gayee
Garm saasoN se ehsaas jalne lage

Uski aawaaz aur uske sangeet per
Hum thirakne lage hum machalne lage

Dar yeh tha le nah doobeN haem gham kaheeN
hum mohabbat ki kashtee meN chalne lage

aise doobey mohabbat ke sagar meN hum
mauj-e toofan bunke machalne lage

ThokareN zindagee ne bahut deeN magar
hum tera pyaar paa ker sanbhalne lage

Garmi-e ishq :Nira: madhur cheez hai
Kaash iss aag meN woh bhi jalne lage

4 comments:

  1. Woh Mohabbat karti thhi..!

    Kabhi woh sirf hum par hi marti thhi,
    Bepanaah mohabbat kiya karti thhi,

    Jaane kis ki nazar lag gai us rishtey ko,
    Woh fir to mere naam se hi darti thhi,

    Bewafa kahen ya fir waqt ki meharbani,
    Woh chali gayi jo har waqt dil mein rahti thhi,

    Hamara kya hai ye zindagi gujaar lenge,
    Ye dil to bus unke liye hi fikar karta thha,

    Woh masoom nahin aadat se mazboor hain,
    Jo shaayad humse behtar ki talash karti thhi,

    Ye to waqt bataayega kiski manzil kahan hai,
    Har shakhs shaayad is haqeeqat se darti thhi,

    Bhulaaye se bhi nahin bhoolte hain woh din,
    Koi jab "Priyraj" ko apni Jaan kaha karti thhi................

    "Raj"

    ReplyDelete
  2. pratyek sher umdaa hai aur apni individuality ki garimaa banaaye rakhne mein bhi samarth hai.....bahdaai

    -Madhuri

    ReplyDelete
  3. aapki ghazal bahut umda hai
    shukriyr

    nira

    ReplyDelete
  4. madhuri ji
    aapke saharniye shabd hanesha mere saath rahainge.

    dilse shukriya adaa karti hoon

    ReplyDelete