Saturday, September 27, 2008

aise meN Eid kaise manaaooN mire Khuda!


phTte haiN bum bikhartee haiN lasheN idhar udhar
RoteeN haiN maaeN baiThke bachchoN ki lash per
ujRe suhag ujRa hai kitnoN ka aaj ghar

aaii jahaN meN Eid magar kitnee bemazah
aise meN Eid kaise manaaooN mire Khuda!

bikhree huuwee hai maut qayamat hai har Taraf
badle ki aag sholaa-e nafrat hai har taraf
dil ka sukoon miT gaya waihshat hai har taraf

har samey aisa lagta hai ik shor hai bapaa
aise meN Eid kaise manaaooN mire Khuda!

kya bum tha maaN ko chheen ke bachche se le gaya
woh man jo ik sahara thee bachche ke doodh ka
ab bhook se taRapna hi qismat meN hai likha

jab zindagee hi ban gayee belutf.o.bemazah
aise meN Eid kaise manaaooN mire Khuda!

Allah aur Rasool se faryad hai miree
Ab is jahaN meN Khatm ho daihshat ki zindagee
Har dil ho gham se door harik ghar men ho khushi

dikhta nahiN hai khushiyoN ki manzil ka rasta
aise meN Eid kaise manaaooN mire Khuda!

Nira

No comments:

Post a Comment