Friday, August 08, 2008

aarthi ko dena kaandha

mujhse meree shaadee kee baat karte ho
baaraat aur dulhe kee baat karte ho
pahnoon main surkh joda, sitaare jadaa
gahnon aur shringaar kee baat karte ho

mehmaanon ko tum aamantrit karte ho
aaj mujhse hi ye savaal karte ho
bhaagy men Milan ki gari likhee nahi
kyon doobtee kishtee men sawaar karte ho

pahle bhi apnon ne mujhe sajaaya tha
phoolon se sajee doli men baithaaya tha
tab haathon se chupakar chehara apna
kaanpte honthon ko daanton tale dabaaya thaa

hogi mushkil tumhe bhi, ye jaanatee hoon
rishtaa thaa bas yaheen tak, ye maantee hoon
lekin jab jaaoon jahaan se, mere maahiya
aarthi ko dena kaandha yehi main chaahtee hoon

No comments:

Post a Comment