Saturday, March 01, 2008

Kya insaniyat zinda hai??

Badhe badhe makan.
Banate hain ham.
Rahne ko ghar nahi,
Logon ke ghar sone se.
Sajate hain ham.
Ek ghar mein.
Bistar tak nahiiN.
Kahin fanus lagate hai ham.
Sajate hain
Phoolon se
Doliyan
Kitane armaan doli main
Baithe tak nahi
Chalak jate hai ansoo
jab sajti hai
koi doli kahin

Bunte hain hamare pairon
Main pada
Sunder qaaleen
Chote chote haath
ZaKhmoN se ghayal
Hokar --------dinbhar
So jate hai
ChaTaaii par
Odhkar
Apni bebasi

Kaisi yeh hai
Duniya
Kaisa yeh
Dastoor hai
Badi se kothi ke niche
Ek tuti chat mazboor hai

Bharte hain
Pet dusron ka
Khud Khane ko
Roti tak nahi
Pet jaa lagaa
PeeTH se---------
Jaise koi qaleen
Bichcha ho kahin

Kaisi yeh duniya
Hai teri----
Kaisa yeh samaj
Kaisa yeh riwaaj hai
kuch log ganga ko
Angan main lekar baithe hai
Kuch bund bund pani ko
Mohtaaj hai

Kuch panv ragadte hai
Keemati qaleeno par
Kuch chain lete hai
Aasman ke niche
Jameeno par
Kya insaniyat zinda hai??
Haan to
Fir kynu zindagi is kadar sharminda hai??
Koi to mujhe batao??
O insaan is tarah til-til kar mat maro
Ab to jaag jao

2 comments:

  1. nicely done... u r gud at it!

    ReplyDelete
  2. thanks for for ur kind words and liking my poem

    ReplyDelete