Saturday, March 01, 2008

Beti maa ki parchayi hoti hai

Maa hi janam deti
Fir aise kyun roti hai
Beti hi toh maa ki
Parchayi hoti hai
Angan mien ----------
Halke halke pavn
Jab chalti hai
Payal goonj uthati hai
Ek sakoon sa deti hai
Beti maa ki
Parchayi hoti hai

Bachpan badhte badhte
Jawani ki seedhiya chadte chadte
Angan smetane ko jee karta hai
Mano kabhi ye bhi choot jayega
Man kynu darta hai
Main jab bhi golmatol hokar soti
Maa chupke se mathe par hath laga roti
Kee main bhi jaoongi pardesh
Main dhundati sapno main
Piya ka desh

Aankh khulti to samne hota mera hee ghar
Mujhko lagta hai fir kaisa ye dar
Kon mujhko karega door
Kynu hai maa baap aise mazboor

Ye jaroori hai main chod doon apna ghar
Jismain jeeti rahi sans hathon main bhar
Pyaar kand kand se karti hoon main is kadar
Ho gayee jo zuda sach main jaoongi mar

Koi ban ke sajan aa bhi ja iss kadar
Jaan lele magar cheen mat mera ghar
Main tere waste pee bhi lungi jahar
Bas mujhe baksh de mere babul ka ghar

1 comment:

  1. Nira jee
    Aapki kavita Beti maa ki parchayi hoti hai, padhi . achchhi lagi.aur yah bhi laga ki ladkiyon ko apni maa aur pita ka ghar kitna pyaara aur apna lagta hai ... aapki kavita ka aakhri antara khud iski gawahi deta hai:-

    Koi ban ke sajan aa bhi ja iss kadar // Jaan lele magar cheen mat mera ghar //Main tere waste pee bhi lungi jahar//Bas mujhe baksh de mere babul ka ghar...
    Antar rashtreeya mahila diwas ke samay ek mahila ki abhivyakti ne hriday ke tantu jhankrit kar diye..

    Aapka dost
    Vijay Tiwari "Kislay"
    jabalpur , INDIA

    ReplyDelete