Tuesday, April 10, 2007

Mujse mere adhikaar naa cheeno

Maana ki sampooran nahi hoon
tannse bhi kuch kamzor hoon mein
Swabhimaan ki takat hai muj mein
Zindgi ne yehi muje seekhaya hai

Jo tum kar sakte ho jug mein
Main bhi sab kar sakta hoon
Har manzil ko choo sakta hoon
Muj mein bhi woh shakti hai

Meri nahi halaat ki majboori hai
Tum kaho toh sabit kar sakta hoon
Mujse mere adhikaar naa cheeno.
Kudrat se bhi ladd sakta hoon

Muj mein agar kaami bhi hai.
Fir bhi sambhaalna aata hai
Apna karna aata hai sab ko
Waqt bhi kal jhook jata hai

Jeetni hai maine shaanse duniya
Naam amar kar ke jana hai
Tumse jo naa ban sakka agarche
Vo kaam muje kar jana hai

Maharbani nahi karna muje par
Haq dharti par mera bhi hai
Paya hai jo tumne jahan mein
Uss par aab adhikar mera bhi hai.

No comments:

Post a Comment