Sunday, December 02, 2007

Kaisa sandesha bheja hai

Chand Taron mein lapet kar
Baharon mein mehak bhar kar
Muhabat ne aaj dilbar
Kaisa sandesha bheja hai
Padh ke choom letee hoon
Choom ke padh letee hoon

Raahon mein palken bichakar
Umeedon ke chiraag jalakar
Dil mein sanam ke halchal machakar
Ankhon mein kaisa khwab bheja hai
Dekh ke jag jatee hoon
Jag ke dekh letee hoon

Awaaz ki meethi sargam sajakar
Bolon ki meethi dhun bana kar
Tan par mere jaanam Likh kar
Geeton ka kaisa paigam bheja hai
Soon ke doob jatee hoon
Doob ke suntee jatee hoon

Mehndi haathon par lagwakar
Laal joda pehanwaakar
Haath mein chhoodi, mathe bindiya
Aaj yeh kaisa shingaar bheja hai
Sharma ke aayeena dekh letee hoon
Ayeena dekh ke sharmaatee hoon

Aaj kya baat hai kis ke pas jatee hoon
Aaj kya baat hai kisee ko pas patee hoon

3 comments:

  1. wah nira jee
    kya baat kahi hai aapne

    bahut hi acha likha hai aapne

    ReplyDelete
  2. wow....mithayee jiiiiiiiii

    har stanze ki last two line are more amazing....aur uske pahle wali to ghajab hai

    keep it up

    ReplyDelete
  3. ek roohaniyat se bhari madmast kalam jo har fiza ko maheka dai bahoot khoob

    ReplyDelete