Wednesday, April 12, 2006

Char din ki khushiyan

Char din ki khushiyan,
zindgi bhar ke
Ansoo ban jate hain
Har sahar sham ban jati hai.
Jis ghadi tumhari yad aati hai.

Hamari mahubaat bewafa nahi hai.
Waqt ke haaton majboor hai.

Kabhi gujro jo is dagar se
Unn ankhon ko dekhna jo pathra gayin hain
Ek nazaar tumhara dedaar pane ko.

Unn sansoo ko mehsoos karna jo
Tham jayin hain is dil mein.
Unn hawa. oon ko chuna,
Jo humse se ho kar gayin hain.

Yahin is rah par ek kabr hai hamari.
Agar bhule se thokar lag jaye toh.
Naraaz naa hona.
Isi bahane se pa jayenge sparsh tumhara,

Kabhi aaye agar yad hamari.
Do phool chadha dena hum par.
Bas itni si hai gujarish hamari.

No comments:

Post a Comment