Tuesday, December 19, 2006

nafraton ke dayere mein jeena mushkil hai.

zindgi tu itni bedard kyun hai.
har galti ka lizaam hum par kyun hai.
peedha toh mili mujko hai.
fir bhi yeh gunnah hum par kyun hai.

nafraton ke dayere mein jeena mushkil hai.
apne akhon se ashk pina mushkil hai.
jhooti muskan labon pat aati nahi.
Sab ke liye musurana mushkil hai
Kab milegi zindgi ko ek pal ki khushi
Yes sab se kahna mushkil hai.
Dil men rakhte hain

Chaat par khade jis chand ko dekhte ho.
Hum bhi usi chand ko dekhte hain.

Hum chandni kee tarah tumhe
raat bhar Dil men rakhte hain

Jis sahil ko choo kar lahrain jati hain..
Unmain ehsaas humare hi hain.

Kabhee chandni ban kar kabhee sagar ban kar .
Hum tumhre the hum tumahre hain
Fir bhi yeh soonapan kyun hai.

Tumhare dil mein baste hai.
Fir bhi soona anagan kyun hai.

Pyaar toh tum karte ho.
Fir bhi har muhabbat kam kyon hai

Wade ka dum bharte ho
Toot jane ka bharam kyun hai.

Tumhari bahon ka bhandan hai
Fir bhi yeh khalipan kyun hai.

Dikhte toh ho charon aor.
Fir bhee faslon ka vaham kyon hai

Chandni raat mein Milan tha
Fir yeh amawas ka janam kyon hai

Zehan mein khayal bassa hai
Haqeetat mein duur sanam kyun hai

Tumhare dil mein baste hai
Fir bhi yeh soonapan kyun hai.

Pyaar ki intihaa dekh li hai.

Pyaar ki intihaa dekh li hai.
Tumse milkar chahaat ki hadh dekh li hai

Jazbaat aise chedh diye hain
Is pyaar ki rangat dekh li hai

Ankhen pyaarse jhooki huyi hain.
Dadkanon ki awaaz dekh li hai

Meri yaadon mein basne wale
Aaj teri tasveer dekh li hai.

Apne pass bithalo mujko aaj.
Seene mein chuppne ji chah dekh li hai.

Khushi ke pal ginti ke hain
Unmein jeene ki aass dekh li hai
Yeh kaisa mandir bana rahe ho.

Yeh kaisa mandir bana rahe ho.
Jahan bhagwan ko nahi
Pyaar ko devi bana rahe ho.
Who sthaan bahut unchha hai.
Kyun insaan ko wahan bitha rahe ho.
Mana pyaar khuda ki dain hai.
Hum uske bandhe hain.
Fir bhi unka darzaa insaan
Se uncha hai.
Uss mandir ko pranaam
Jis mein aapka khuda aor
Pyaar dono baste hain.
Aarthi.

Bahut door se aayi hoon.
Kayi sapne sajakar layi hoon
Is ghar ki dulhan bani hoon
Piya ki pyaari bani hoon
Sajke doli se utri hoon.

Banke aarthi hi nikli hoon.
Mere naseeb ne saath na diya
Bahut jaldi aarthi par bhitha diya.
Hastraton ko dil mein hi dabaa diya.
Apne samne, apna zanazaa rakh diya.

Meri kuch khawishen puri kar do
Is tarah na jalana mujko
Abhi muje kuch kahna hai.
Mere baad tum jee naa paoge
Tanha tum rah jaoge.

Ghar basa lena apna.
Chahe meri sautan le aana
Guriya meri sambhal lena.
Ruk jao abhi aarthi naa uthana

Abhi kuch vachan baki hain.
Abhi kuch sapne adhure hain.
Wadaa bhi toh lena hain
Aage bhi kahan milna hai
Astiyan ko bhi kahan jana hai

Agar bhool gaye jo mujko
Sapno mein yaad dilayoongi.
Apni sari sharte dohrayoongi.
Aab sulado mujko aarthi par
Aab mein uss ghar jayoongi.
Kardo mujko lapton ke hawale
Aab main sona chahoongi.
Alvida sab ko kah jayoongi.

Rakh bahana naa nadhi mein
Usse udha dena phoolon mein
Jab bhi hawa ka jhonka aayega,
Meri khushbu vo sang layega.
Mera ehsaas de jayega.
Mar kar bhi mera saath ho jayega.
Kyun naa hum tumko bhool gaye.

Nafrat mili hume is tarah
Pyaar karna hum bhool gaye.

Dhokhe diye har mod par.
Tum par aitbar karna bhool gaye.

Zakham paaye aise dil par.
Marham lagana hum bhool gaye.

Khawab thod ke chal diye par
Raat bhar sona hum bhool gaye.

Judai aayi lambi zindgi par.
Milan ki gari hum bhool gaye.

Waqt laya maut humari aor par.
Kyun naa hum tumko bhool gaye.

Nari khilona nahi hai

Aisa kyun lagta hai
Aurat bas ek khilona hai.
Sirf ek jism hai.
Sirf ek jaan hai

Jiski ki naa koi icchha hai
Na hi koi armaan hai.
Jab jo chaye dil bahlata hai.
Jab chahye dil thod jata hai.

Yeh bhi bhul jata hai.
Ussko janam dene wali
Ek maa bhi aurtat hai
Jo haat par rakhi bandhti hai
Woh bhi ek aurat hai
Jo beti hai vo bhi aurat hai

Yeh samaj ke thekedaro
Kab tak jismo ko nochoge.
Aab toh khud ko sambhalo.
Nari ko saamaan do usse man do.

Aaj ki nari ko pahchan lo
Usske har roop ko izzaat do.
Usse uska adhikar do.
Nari sehan shati ki partima hai.
Dhahraye ki misaal hai.
Usse naa majboor karo.

Waqt aane par vo chandi ka avtar hai
Ek aisi chingari jo rakh kar degi.
Naa jagao uske yeh roop.
Usse sheetal hi rahne do.

Nari khilona nahi hai
Woh pyaar ka sagar.
Woh aapke ghar ki izzaat hai
Aapke ghar ka saam.maan hai.
Ek gunnah hum kar baithe

Ek gunnah hum kar baithe
Apne dil ko hi rulaa baithe.

Chaha tha tumhara sapna sajana
Woh sapna hi gawaah baithe.

Hum ek kasoor kar baithe
Pyaar se daman jalaa baithe

Na chalenge un rahon par
Jinke nishan hum meetaa baithe

Dard toh hai aab zindgi ka.
Ankh se ganga bhaha baithe.

Khushi thi haat mein lakin
Har ristha tabha kar baithe.

Dil ka mandir todh baithe
Pathar ki murat sajaa baithe.

Ek gunnah Nira kar baithe
Apne dil ko hi rulaa baithe
Pyaar ki intihaa dekh li hai.

Pyaar ki intihaa dekh li hai.
Tumse milkar chahaat ki hadh dekh li hai

Jazbaat aise chedh diye hain
Is pyaar ki rangat dekh li hai

Ankhen pyaarse jhooki huyi hain.
Dadkanon ki awaaz dekh li hai

Meri yaadon mein basne wale
Aaj teri tasveer dekh li hai.

Apne pass bithalo mujko aaj.
Seene mein chuppne ji chah dekh li hai.

Khushi ke pal ginti ke hain
Unmein jeene ki aass dekh li hai
Zinda lash hoon yeh kah gaye ho.

Ankon mein ansoo de gaye ho.
Zinda lash hoon yeh kah gaye ho.
Daishiyat mein thi zindgi meri.
Uss se bhi badhtar keh gaye ho

Dil ki baat kah nahi sakti hoon
Par dil toh fir bhi rakhti hoon.
Muhabat ki nahi maine kisi se
Par jazbaat yakeenan rakhti hoon.

Tumne meri atma ho hila diya.
Muje apne aap mein rula diya.
Ab kya kerooN Gila maiN tumse
Sachayi se Tumne mila diya
Ek aania muje dikha diya.
Safed sari pahna di mujko.

Kasoor tha hua mujse.
Kya khata ki hai maine.
Kyun suhaag kho diya maine
kyuin safed rang pehen liya maine

Sab kuch choot gaya mera.
Solhah shingar bhi mitt gaye mera
Payal chudhi thod kar meri.
Safed sari se rishta jod diya mera

Huq sab cheen gaye mere
Bistar ki jagah mili chatai mujko
Char bartan ki rasoyi aaj
Ghar ke kisi kone mein di tanhai mujko.
Aaj safed sari pahnayi hai mujko.

Har rishte ne muh fera hai mujse.
Dard ka ghahra zhakham dekar
Kiya hai Rab ke hawale mujko.
Ponch kar maathe ka sindoor leker
Safed sari pahna di mujko
Aaj humse woh pyaar kar gaya

Dil mein pyaar bhar gaya
Ek khawab pura kar gaya
Meri zindgi mein bahar bhar gaya
Ek jaltaran sa chedh gaya
Jab woh iqrar kar gaya.
Aaj humse woh pyaar kar gaya.

Pyaar tha tumhari ankhon mein
Aaj samne aa gaya
Tumse bhi rahana gaya.
Akhir tumhara dil haar gaya.
Zindgi humari adhuri thi
Tumhare ehsaas pura kar gaya.

Kaise yeh pyaar sambal gaya.
Tumse nazaar mila gaya,
Dekha jo pyaarse humari aor.
Dil ruk gaya humara usi pal
Jab woh iqrar kar gaya.
Aaj humse woh pyaar kar gaya.
Dil mein pyaar bhar gaya
Jab woh iqrar kar gaya.
Muje kafan bhej do papa.

Muje kafan bhej do papa.
papa kafan bhej do....
papa kafan bhej do
Aapke bina kaise jiuin
Aapke bina duniya khali hai
munna ka bhi bhej jo
mera kafan bhej do
mujhe pencil bhi nahi chahiye
school ke dress bhi nahi chaiye
koi guriya bhi nahi chaiye

Aapki bahut yaad aati hai
Jab ungli pakad kar chalna sikhaya.
Jab raat jag kar muje sulaya.
Pahli baar jab padhna sikhaya.
Khelon mein bhi saath nibhaya.
Mera aab saath dedo papa

Mere kadam jab bhi dagamaye.
Siddi rah par aap hi laye.
Aaj fir vo gadi aayi hai.
Duniya meri dajmagayi hai.
Sirf aapki hi parchayi nazaar aayi hai.

Jo muje aap takh pahunch de.
Aapki majboot bahon mein chuppa de
Ek baar fir who sahara dedo papa
Mera kafan bhej do papa

Muje gum se bachalo
Apni god mein sulalo
Ek meetee neend sona chahti hoon
Apni ladli ko sulado papa.
Muje mera kafan bhej do papa.
Muje mera kafan bhej do papa

Sirf toote sapno ki raat hogi

Aajki raat barish ki nahi.
Ansooyon ki barsat hogi.
Zindgi mein tumhari kami hogi.
In ansooyon ko pounch.ne,
Wale haat bhi naa honge.

Na chand hoga na tare honge
Naa hi koi sahare honge
Sirf toote sapno ki raat hogi
Aor gumon ke nazaare honge.

Tumhari ankhon mein nami.
Meri hi toh ankhon ki hogi.
Tooti huyi abhilasha ki.
Yehi puri kahani hogi.
Jise log dil kahte hain.

Ek ehsaas toh aapne dila diya.
Humari aapki zindgi mein koi
Jagah nahi hai.

Ik khali diya hua waada hai.
Ik khali diya huya vachan hai
Ik jhooti tasaali hai.

Sare bandhan toh tumne thodhe
Raste baddle hume chor diya.
Dil toh merra toota hai
Tumne kya Kho diya.

Aaj hum bhi kasam khate hain.
Zindgi kisiko woh jagah naa denge
Jise log dil kahte hain.
Khata toh humari thi.

Aaj tak jo bhi tumne chaha hum karte gaye.
Intazaar bhi kiya ratain bhi jagte rahe.
Sare takiye ansoo se bhigote gaye.
Naa koi shikayet ki naa koi gile kiye.

Tum par naa koi asar hua, tumne na koi khabar li.
Do pal bhi naa jaya kiye, apni duniya badaal li.
Ilzam dain bhi toh kisko, khata toh humari thi.
Saath toh humne chaha tha.

Sawan ke sapne toh humare the,
Jhool naa paye toh aaj gum kyun.
Sare takiye ansoo.o.se bhigoye kyun,
Har sapne tumhare liye sajaaye kyun.
khata toh humari thi.
Saath toh humne chaha tha.
Kahmoshi hi hamari zuban hai,

Humrari ek pahchan hai.
Kahmoshi hi hamari zuban hai,
Dil main kitne armaan hain.
Kitne ehsaas hain jo tum tak
Paunchna chahte hain.

Yeh khamoshi tootegi kaise
Kaun dilki baat batayega
Kaun Hoonton thak le aayega.
Hamare toh lab kamp jayenge.
Aapki hi hai yeh zimedhari,
apne hoonton ki baat,
hamare lab thak lani

Ankhon mein sharam ki lali.
Inmein bhi jhank lena,
Apne pyaar hi nami ko
Hooton se choo lena.

Aaj ikhtiyar dete hain.
Apneko aapke hawale karte hain.
Is khamoshi ko zuban dete hain
Pyaar ki haadhain par kar lete hain.
Pyaar ki reet nibha jani hai.
Tumse preet nibha jani hai.
Chal padhe ho jis rah par
Mere humsafar ban kar,
Tumhare saath har naav
Par kar jani hai.

Kannto ki sej ho, toh bhi
Hume neend aa jani hai.
Jahan pyaar hoga, wahan
Jeene ki chah bandh jani hai.
Pyraar ki kisthi hi toh par Lagani hai
Yeh kaisi zindgi ki gadi chalete ho.

Yeh kaisi zindgi ki gadi chalete ho.
Ek pal mein khushi dete ho.
Doosre hi pal mein cheen lete ho.
Dil ki raftaar badhate ho.
Aur apne haaton se uski door,
Kat bhi dete ho.
Yeh kaisa sansar chalate ho.

Char shabdon ka khazana hai.
Kuch kahna hai, kuch soon.na hai.
Khuc yaad rakhna hai
Kuch bhul jana hai, zindgi ko
Yunhi toh chalana hai.
lafzon se sapne ke siwa aur
kya badalana hai
Muje tumse pyaar nahi hai,

Tumne kaise jaan liye ki.
Muje tumse pyaar nahi hai,
Jazbaat sab ke samne aate nahi
Har koi dil ki baat, zuban par late nahi.

Pyaar toh khushbu hai,
jo duur tak faill jati hai,
Ankhon mein machalti,
toh sab ko khabar ho jati hai.

In mein jhankar toh dekho.
Khud bhi doob jaoge ,
Hume bhi le dooboge.
Ankho ke raste dil mein utar jaoge
phir kabhee apane lab par...
koyee shikayatan nahee layoge...
Ankho ke raste dil mein utar jaoge
Naa do ansoo in ankhon mein ,

Naa do ansoo in ankhon mein ,
Bahut ro diye hain hum
Kuch tumse milne se pahle.
Kuch tumhare milne ke baad
Humne toh har pal khushiyan mangi thi.
Milne ki chahaat mangi thi.

Par lagta hai naseeb kuch aur
Hi khahna chahaata hai.
Haaton ki lakhiron se tumhara
Naam hi meetaana chahaata hai.

Dekh ne ko taras gayin hain ankhe.
Khoon ke katre barsa gayin hain ankhe.
Chuban si dil mein uthi hai itni.
Nafrat duniya se ho gayi itni.
Har cheez ko rakh mein milane.
Ko jee hai karta.
Khud ko usmein jalane ko dil hai karta.

Jayenge is jahan se toh khabar bhi na lagegi.
Dil ki sab hasratain dil mein hi rah jayengi.
Jab doondoge hume, bahut door ja chuke honge,
Un kadmon ke nishan par bhi dhool hogi.
Jahan se hum gujrain honge.

Kuch palon ki yadain hongi tumhare pass.
Kyunki di hi toh thi sirf itni yaadain.
Diye toh ansoo the, gum the,dard tha.
Jo aaj lautaye jaa rahin hoon..

Chaha toh tha jee bhar kar pyaar doongi.
Ek aisi khushbu doongi, jo saada tum
Mehsoos karoge.
Un raton ki yaadain jo tumhare liye
Sajayee thi.
Par sab hasratain dil mein hi rah gayin.

Tumne itni dair kar di aane mein.
Hume apnaa banana mein.
Waqt piche choott gaya.
Hum maut ki agosh mein pahunch gaye.

Jate huye bhi dua karte hain.
Jitna hume ne intazaar kiya hai
Tum naa karma, apni zindgi sawar lena.
Jo tumse pyar mange us ko pyar dena.
Jo tumhe pyar de us se pyar lena.
Apni zindgee sanwar lena
Pyaar ke naye sapne sajaa diye

kisi ne halke se kab dastak di.
Kaun kab dil mein utar gaye.
Kab hum apne hosh kho baithe
Kab tum hamare ho baithe.

Pyaar ke naye sapne sajaa diye
Hume apni duniya mein le aaye.
Jiski kabhi kalpana bhi na ki thi.
Jo shayad humare liye bani hi na thi.

Ik nahi duniya rachne lagi hai.
Aapke pyaar mein jeene lagi hai.
Aapki chahaat mein marne lagi hai
Ik madhur si muskurahat la di hai
Is daman mein khushiyan bharne lagi hai

Tumhe yaad karke khud sharma jate hain
Ankhon ke samne tumhi, tum nazaar aate ho.
Abhi yeh haal hai toh tab kya hoga
Ek haat jab tumhare, choo raha hoga.
Simat kar hum khud mein kho jayenge.
Ya palat kar tumse lipat jayenge.
Paata nahi kya kar jayenge.

Zindgi ke us mod par mile ho.
Jahan kuch saanse zinda rahna chati hain.
Par darti is pal bhar ki khushi se bhi.
Kyunki jante hain, yeh mari nahi hain.

Ek sapna sa tum bhi lagte ho.
Lakin is waqt apne se lagte ho.
Kab hum apne hosh kho baithe
Kab tum hamare ho baithe.
Arth

Meri zindgi ko arth dedo,
muje jeene ka huq dedo
Ek hasin sham mere naam likh do.
Ek pyaar bhara paigam dedo.
Choo.te na mujse jo aisa saath dedo.
Raaton metab sa koyee khawab dedo.
Chahaat ka huq muj ko,chahne ka wadaa dedo.
Rahne ko ghar nahi hain, apne dil mein ghar dedo.
Ankho mein pyaar dedo mujhe dil ka karar dedo.
khud ko meree deewar kar do mujh ko
meree deewar de do
Seene se lagakar rakhlo, apni baahon ka sahara dedo.
koyee zindgee le gya tha meree
Meri zindgi dobara dedo
pyar tumhara dedo mujh ko sahra de do
Dil, dil ki baat Maan.ne se dil darta hai.

Pyaar se pyaar kahne ko pyaar darta hai,
Kisiko dildar kahne se dil bhi darta hai.
Yeh kaisi kashmakash hai, har waqt
Dil, dil ki baat Maan.ne se dil darta hai.

Dil mein samaye ho yeh zamanna janta hain.
Fir bhi innse nazaarain milane se kyun darta hai.
Pyaar ke shabad dil mein jhoonjte hain.
Fir bhi samne kahne se dil kyun darta hai.

Chahaat bhi hai tamanna bhi hai.
Fir bhi tumhe choone ko dil darta hai.
Khawabon jo baat khulkar kah dete hain
Haqeekat, zuban par lane se dil kyun darta hai,
Fasle tumhi meetaa sakte ho. Har kadam tumhi
Badha sate ho.
Hum toh kal bhi daarte, aaj bhi daarte hain
Kyun kiye waqt ne itne julm

Teri yaadon ke sahare zindgi guzaar denge.
Chand kadam bhi jo saat chal padhe toh
Sare khawab sazaa lenge.
Kuch toh bhala kiya hoga kisi janam mein.
Tabhi toh baij diya rabne tumhe zindgi mein.
Jise lagakar rakhoongi seene se,

Tootegi jab saanse meri, ek nahi do jayengi.
Ek shareer hoga do aatamey mil jayengi.
Pyaar ki yehi toh intahaa hogi.
Thame huye haat uss waqt koi naa chood.dha payega.
Dharti se akash ka lamba rasta, yunhi kat jayega.

Pooochenge uss khuda se har sawalon ke jawab,
Kyun humare armaan adhure chor diye
Kyun raste itne lambe kar diye
kyun bicha diye samundar ke jaal bich mien
Kyun dair se jalaye deep pyaar ke.
Kyun di itni dard bhaari zindgi.
Kyun waqt ne itne julm kar diye.
Logon ne mujko loota hai.

Har raat ansoo se bheegi hain ankhen
Har roj dil toota hai, har mod par,
Logon ne mujko loota hai.
Umr ki dhalaan par ek din tumne dastak di.

Bhula di muje har dukh ki gadi.
Le aaye mujko ek aisi duniya mein
Jahan pyaar ke sunhere sapne baste the.
Par duniya fir bhi behrahm thi.
Waqt haat se nikal gaya tha.

Muje uss duniya mein jana tha.
Fir se naya ghar basana tha.
Tumko apne saath lana tha.
Aakash mein garondha banana tha
Aab aise yahin jiyenge, ek doosre ki
bahon mein hi rahenge.
Fir aayenge ek naya naam ke saath.
Laayenge mehdi ka rang lal.
Sajegi haat hamare par, uthegi hamari bhi doli.

Fir ek yaadon ka silsila hoga. Sapne honge,
Par is bar tum saath hoge, mere apne honge.
Ek adhuri zindgi ki mukamaal ho gayegi.
Is tarah ek pyaara sa dost mil jayga.

Is tarah ek pyaara sa dost mil jayga.
Yeh toh ek sapna sa lagta hai.
Deere deere vo kareeb aane lage hai.
Dil bhi usse apna maan ne laga hai.

Maano kisi janam ka pichla nata hai
Dekhoon naa tumko toh dil ghabrata hai,
Baat naa ho toh sapne dikhata hai
Aisi kya khas baat, aisa kya naata hai.
Khasiyet kya hai tum mein, kyun waqt milata hai.
Dilka kyun rishta sajata hai.
Sare raste kyun waqt tum tak paunchata hai.

Apne sare bhaid tumhe bata diye hain
Zindgi ke sare paane tumhe padha diye hain
Aaj dil halka lagta hai, dost jo apna sa lagta hai
Jo kal tak sapna tha aaj vo haqeekat sa lagta hai.

Monday, November 20, 2006

Masoom sis ke naam unki salgirah par

jaanse pyaari sabse nirali,
masoom si muskaan ho.
Karti ho raaz sabke dil par.
Aisi haseen sham ho.
Kayi baar kho kar paya hai.
Aisa ik haseen vardan ho.

Pyaara sa dil hai tumhara.
Dilon tak sab ke jati ho.
Duhk samajhti ho sabka.
Unka saath saada nibhati ho.

Khushnaseeb hoon main
Tumse pyaar jo itna paya hai.
Ek masoom so rishta banaya hai.
Tumse mein ek dost ek bahen
Ko paya hai.

Salgirah ke is awasar par.
Dua rab se karti ,
Phoolon se tumhara daman mein
Bhar de.
zindgi tumhari khush haal karde.
Maut, maut ko gale lagayegi

Pyaar jo dil mein sajaya tha.
Aaj arthi par sulaya hai.
Maut ke is pal ne muje.
Yeh din dhikhalaya hai.
Chheen liya muzhse pyaar
Bachon ko anath banaya hai,

Zindgi mein koi rang naa hoga
Na aab chudhiyon ki khank hogi.
na payal ki hogi koi jhankaar
hathoN ki mehndi siyaah-kaali hogi

lut gayi dilki roshini
Har din, kali raat hogi
Tumse milne ko dil tarsega
Dekhne ko ankhoN mein tadap hogi.
Raat ki is tanhayi mein
Dekhne ko ankhoN mein tadap hogi.

Pyraar ki kasak har gari hogi
Ankho mein ansoonyon ki barsat hogi
Tumhari judai sahan naa hogi.
Ek baar fir maut hogi
Raat ki judai yun katam hogi.
Maut ki mulakat aaj maut se hogi.

Pyaar ki har gari yaad aayegi.
Aankhon mein ansoo bhar jayegi.
Tumhari judai sahi naa jayegi.
Ek baar fir maut aayegi
Ie baar muje tumse milayegi.
Judai ki lambi raat khatam ho jayegi.
Maut, maut ko gale lagayegi

Thursday, October 26, 2006

Humse wafa ki asha karte ho

Ek hasin sham thi, hum the aap the
Aor ek tanhayi thi.
Koi shabdon ki zaroorat naa thi.
Anken hi baatain kar rahin thi.
Dil soon raha tha. Dhadkane jawab
De rahin thee

Awaaz ki zaroorat naa thee.
Dono hi ghoom the khamoshi is mein.
Khoye the ik doosre ki bahon mein
Naa din ka hosh tha raat ki parwah.
Ek hi khwaish thi is sham ki koi raat naa ho.
In pallon ka koi anth naa ho.
Koi hume alag naa kare
Koi hum se humari kushiyan naa cheene.

Yeh hasin sham yahin ruk jaye
Humse wafa ki asha karte ho
Bewafa khud hi ho jate ho.
Sapne dikha kar khushiyon ke,
Lakhon ki bheed mein kho jate ho.
Dukh ka pahad uthana kitna.
Mushkil hai,tum kya jano.

Kabhi khud bhi zhakham kha kar dekho.
Is daur se gujarkar dekho.
Kaise chatpatayengi tumhari saanse.
Ek pal ke intazaar mein kat.ti hain kaise ratain.
Humse wafa ki asha karte ho.
Kyun kiye waqt ne itne julm.

Har raat ansoo se bheegi hain ankhen
Har roj dil toota hai, har mod par,
Logon ne mujko loota hai.
Umr ki dhalaan par ek din tumne dastak di.

Bhula di muje har dukh ki gari.
Le aaye mujko ek aisi duniya mein
Jahan pyaar ke sunhere sapne baste the.
Par duniya fir bhi behrahm thi.
Waqt haat se nikal gaya tha.

Muje uss duniya mein jana tha.
Fir se naya ghar basana tha.
Tumko apne saath lana tha.
Aakash mein garondha banana tha
Aab aise yahin jiyenge, ek doosre ki
bahon mein hi rahenge.
Fir aayenge ek naya naam ke saath.
Laayenge mehdi ka rang lal.
Sajegi haat hamare par, uthegi hamari bhi doli.

Fir ek yaadon ka silsila hoga. Sapne honge,
Par is bar tum saath hoge, mere apne honge.
Ek adhuri zindgi ki mukamaal ho gayegi.

Talash

Mil jaye toh amrit hai.

Sahil par khadi hoon.
Kinare ki talash hai.
Gairon mein khade hain,
Apno ki talash hai.
Aap mile ho toh chahaat
Ki talash hai.

Khud mein khud ko
Paane ki talash hai.
Talash ko aarzoo mein
Badal na hai.
Aarzoo ko muhabat mein
Badalna hai.

Muhabat ko kaise badlain.
Vo toh ehsaas hai.
Ek khamoshi hai.
Ek pyaas hai.
Mil jaye toh amrit hai.
Naa mile toh zeher ka
pyaala.
Khud mein khud ko
Paane ki talash hai.
Arth

Meri zindgi ko arth dedo,
muje jeene ka huq dedo
Ek hasin sham mere naam likh do.
Ek pyaar bhara paigam dedo.
Choo.te na mujse jo aisa saath dedo.
Raaton metah sa koyee khawab dedo.
Chahaat ka huq muj ko,chahne ka wadaa dedo.
Rahne ko ghar nahi hain, apne dil mein ghar dedo.
Ankho mein pyaar dedo mujhe dil ka karar dedo.
khud ko meree deewar kar do mujh ko
meree deewar de do
Seene se lagakar rakhlo, apni baahon ka sahara dedo.
koyee zindgee le gya tha meree
Meri zindgi dobara dedo
pyar tumhara dedo mujh ko sahra de do
Yeh nazdikyan hume daarati hain.

Yeh kaisa ehsaas tume ne jagaya hai.
Ankhe bandh karoon toh tumhe hi apne
Pass paya hai.
Kabhi tumhare kandhe par sar rakhti hoon.
Toh kabhi apni god mein tumhara maathaa
Sahlati hoon.

Kyun tumne soye huye jazbaaton ko jagaya hai
Kyun is dil ko dhadka diya,
Kyun inki jhankar badha di.
Kyun dil ko apna naam diya.
Humne toh dil ko deewaron
Bandh kar rakha tha
Tumne naa jane kaise gira di
Yeh deewarain.
kaise ismein ghar bana liya

Kaise nibhayenge yeh wade,
Kaise chal payenge un raston par.
Jahan kabhi kadam na rakhen hon.
Yeh nazdikyan hume daarati hain.
Hume andheron mein le jati hain.

Aapka haat toh hai samne
Par hum apne aapse daarte hain.
Apne aapko tumhare pass lanese
daarte hain.
Hum is pyaar se daarte.
Isske ehsaas se daarte hain.
Apni zindgi se darte hain.
Mujse mera humdard kho gaye

Mujse mera humdard kho gaye
Bahut bachpan ka saathi tha.
Najane kahan kho gaye.
Har kadam vo saath raha.
Har gari vo saath roya hai.

Jab bhi khud ko akele paaye hai
Haat tham kar, ussne hi saath
nibhaya hai.
Logone thokkar di, haat badha
Kar ussne hi muje uthaya hai.

Aaj achanak kya hua, kisne
Rasta rok liye, kaun naya.
Humsafar milgaya.
Hume dil se uthar diya.
Kisi aor ko basaa liya.

Ye dard mein tumhe hi
Toh doond rahin hoon.
Bahut khalipana lag raha hai
Tum nahi ho toh jina bhi
Dushwar ho raha hi.

Laut aao nahi toh, zindgi ki
Ahkiri si.dhi chadhungi kaise.
Ghamo ka samna karoongi kaise.
Aansoo tum bin aayenge.
Saans tun jayengi nahi.
Maut gale lagayegi nahi.

Yeh mere humdard laut aao,
Ek baar fir se gale laga lo.
Pyaar ke naye sapne sajaa diye

Kisi ne halke se kab dastak di. l
Kaun kab dil mein utar gaye.
Kab hum apne hosh kho baithe
Kab tum hamare ho baithe.

Pyaar ke naye sapne sajaa diye
Hume us duniya mein le aaye.
Jiski kabhi kalpana bhi na kit thi.
Jo shayad humare liye bani hi na thi.

Ik nahi duniya rachne lagi hai.
Aapke pyaar mein jeene lagi hai.
Ik madhur si muskurahat la di hai
Is daman mein khushiyan bhar di hain.

Tumhe yaad karke khud sharma jate hain
Ankhon ke samne tumhi, tum nazaar aate ho.
Abhi yeh haal hai toh tab kya hoga
Ek haat jab tumhare, hume choo raha hoga.
Simat kar hum khud mein kho jayenge.
Ya palat kar tumse lipat jayenge.
Paata nahi kya kar jayenge.

Zindgi ke us mod par mile ho.
Jahan kuch saanse zinda rahna chati hain.
Par darti is pal bhar ki khushi se bhi.
Kyunki jante hain, yeh mari nahi hain.

Ek sapna sa tum bhi lagte ho.
Lakin is waqt apne se lagte ho.
Kab hum apne hosh kho baithe
Kab tum hamare ho baithe.
Naa do ansoo in ankhon mein ,

Naa do ansoo in ankhon mein ,
Bahut ro diye hain hum
Kuch tumse milne se pahle.
Kuch tumhare milne ke baad
Humne toh har pal khushiyan mangi thi.
Milne ki chahaat mangi thi.

Par lagta hai naseeb kuch aur
Hi khahna chahaata hai.
Haaton ki lakhiron se tumhara
Naam hi meetaana chahaata hai.

Dekh ne ko taras gayin hain ankhe.
Khoon ke katre barsa gayin hain ankhe.
Chuban si dil mein uthi hai itni.
Nafrat duniya se ho gayi itni.
Har cheez ko rakh mein milane.
Ko jee hai karta.
Khud ko usmein jalane ko dil hai karta.

Jayenge is jahan se toh khabar bhi na lagegi.
Dil ki sab hasratain dil mein hi rah jayengi.
Jab doondoge hume, bahut door ja chuke honge,
Un kadmon ke nishan par bhi dhool hogi.
Jahan se hum gujrain honge.

Kuch palon ki yadain hongi tumhare pass.
Kyunki di hi toh thi sirf itni yaadain.
Diye toh ansoo the, gum the,dard tha.
Jo aaj lautaye jaa rahin hoon..

Chaha toh tha jee bhar kar pyaar doongi.
Ek aisi khushbu doongi, jo saada tum
Mehsoos karoge.
Un raton ki yaadain jo tumhare liye
Sajayee thi.
Par sab hasratain dil mein hi rah gayin.

Tumne itni dair kar di aane mein.
Hume apnaa banana mein.
Waqt piche choott gaya.
Hum maut ki agosh mein pahunch gaye.

Jate huye bhi dua karte hain.
Jitna hume ne intazaar kiya hai
Tum naa karma, apni zindgi sawar lena.
Jo tumse pyar mange us ko pyar dena.
Jo tumhe pyar de us se pyar lena.
Apni zindgee sanwar lena
Ankho ke raste dil mein utar jaoge

Tumne kaise jaan liye ki.
Muje tumse pyaar nahi hai,
Jazbaat sab ke samne aate nahi
Har koi dil ki baat, zuban par late nahi.

Pyaar toh khushbu hai,
jo duur tak faill jati hai,
Ankhon mein machalti,
toh sab ko khabar ho jati hai.

In mein jhankar toh dekho.
Khud bhi doob jaoge , hume
Bhi le dooboge.
Ankho ke raste dil mein utar jaoge
phir kabhee apane lab par...
koyee shikayatan nahee layoge...
Ankho ke raste dil mein utar jaoge
Yeh kaisi zindgi ki gadi chalete ho.

Yeh kaisi zindgi ki gadi chalete ho.
Ek pal mein khushi dete ho.
Doosre hi pal mein cheen lete ho.
Dil ki raftaar badhate ho.
Aur apne haaton se uski door,
Kat bhi dete ho.
Yeh kaisa sansar chalate ho.

Char shabdon ka khazana hai.
Kuch kahna hai, kuch soon.na hai.
Khuc yaad rakhna hai
Kuch bhul jana hai, zindgi ko
Yunhi toh chalana hai.
lafzon se sapne ke siwa aur
kya badalana hai
Kahmoshi hi hamari zuban hai. ----

Humrari ek pahchan hai.
Kahmoshi hi hamari zuban hai,
Dil main kitne armaan hain.
Kitne ehsaas hain jo tum tak
Paunchna chahte hain.

Yeh khamoshi tootegi kaise
Kaun dilki baat batayega
Kaun Hoonton thak le aayega.
Hamare toh lab kamp jayenge.
Aapki hi hai yeh zimedhari,
apne hoonton ki baat,
hamare lab thak lani

Ankhon mein sharam ki lali.
Inmein bhi jhank lena,
Apne pyaar hi nami ko
Hooton se choo lena.

Aaj ikhtiyar dete hain.
Apneko aapke hawale karte hain.
Is khamoshi ko zuban dete hain
Pyaar ki haadhain par kar lete hain.

Sunday, October 01, 2006

kaheen jag raha hai?

koyee meree tarah mere sawalon main uljha
kaheen jag raha hai?
mujhe aisa kyon lag raha hai
Shayad koi dabbe paun se aayega.
Ek halki si dastak dega, apne hone ka
ehsaas karayega
Achank yeh kya hua hai.
Muje yeh khalipan kyun lag raha hai.
Sare jazbaat kahin kho gaye hain
Naa dhuk hai naa dard, naa hi koi chah hai.
Ek soonapan sa dil main jag raha hai

Kaise jeeyungi sochti hoon.
Kaise bharoongi yeh khalipan .
kaise bharoongee ye khali man
Kaun nayi rah dikhayega
Shayad koi dabbe paun se aayega.
Ek halki si dastak dega, apne hone ka
ehsaas karayega

Thodha sa pyaar dikhyega.
Dil mein ik vishwas dilayega.
Muje apna banayega.
Pyaar ke sapne jagayega.
Mera soonapan bhar jayega.
par kaun ayega?
yahee soch rahee hoon aur dil main
ek soonapan hai

parr khudko tassali deti huu..
khud ko main samjhati hu...
koi to hoga jo meri hi tarah sawalo main
uljha kahi jag raha hai...
meri hi tarah woh bhi rahhe tak raha hai
Tum bhi toh dekh rahe ho is chand ko.

Tum bhi toh dekh rahe ho is chand ko.
Vo tumhare angan mein bhi toh utra hoga
Ismein muje tumhari surat nazaar aati hai.
ismein chamkti hai tumhari chaavi.
Sheetalta deti hai jo mere maan ko.
Hai jiski roshni tum

Dooriyan itni hain ki khatam na hongi.
Zindgi mein kabee rah ek naa hogi.
Yeh chand aise hi muje tumhari aor
Khinchta rahega, tumse milne ki aarzoo
Badhata rahega.
chand se utar ke koyee yoon hee
mere sapne main ata rahega

pyaar ki bagiya


Ek bagiya khilayi ek sapna sajaya
Naam bhi diya bahut pyaara sa.
Dhoond dhoond kar phool sajaya
Ek pariwar banaya.

Kisi ne ghazal sunai toh kisi ne rubai.
Har ek ka sanyoj huya, harek ne apni
baat sunai.

Kisi ka dard dikha, toh kisi ki judai.
Koi piya se mil gaya, kisi ne thokar khayi
Sab ne apni apni baat batayi.

pyaar ki bagiya  kayi rang layi.
pyaar hi is bagiya ki jaan hai imaan hai
Aapka dular is pariwar ki neev hai,
iski deewar hai.

Waada hai sabka, unchai par le jayeinge
Har ek ko sadasya banayenge.
Ekdin aisa aayega, yeh pariwar sab ke dil
Mein bas jayega.
Is bagiya ke mali ko nahi bhul payega.
pyaar zindgi mein hasil ho yeh zaroori toh nahi

pyaar zindgi mein hasil ho
yeh zaroori toh nahi...
kuch khona hee parata hai is main
kaheen an kaheen
pyaar toh dene ka naam hai,
badat ka naam hai
pyar khud ko luta dene kee
adat ka nam hai
kaisi radha kee sahar hai
kaisi meera kee sham hai...
pyar khud ko luta dene kee
adat ka nam hai
dost ko pyaar sabhi banate hain ,
aaj hum pyaar ko dost banakar dekhai

har din teree bahain
taraptee hai hamre liye..
aaj tere agosh main khud
aa kar dekhen
tasarvur mein
ek tasveer hai tumharee ,
aaj samne lakar dekhen
ek chirag andhre ghar main
jalakar dekhen
aaj ham bhee ek baar toh
ujalaon main aa kar dekhen
samudar mein laharain
toh bahut uth rahin hain,
dil ke samudar mein
aaj doob kar dekhen

in laharon ne
hazar gharnode bahaye hain..
aaj in lahron mein
ghar banakar dekhen
tumhree god main
sar rakh ke so jayen...
aaj kee shab tumahre ho jayen
Hum tumko naa bhul payenge.

Waqt kaisa bhi aaye hum par
Hum tumko naa bhul payenge.
Dil ke chahe tukadhe hojayen
Hoton se shikwa naa karenge

Thodha hi sahi sath magar.
Rah tum mujhe dikha gaye.
Jee lenge tumhare bina,
Itni himmat tum badha gaye.

Wada jo kiya hai tumse,
Har haal mein jeete rahenge.
Itni tasalli dete hain.
Huq mange bhi toh kis se
Jo hamara hai hi nahi
na jaane kyon uski tamanna
karte hain
Galti se do rahain
ek mod par mil gaye
Kyun baar baar ek hi baat dohrate ho

Kyun baar baar ek hi baat dohrate ho
Kyun zindgi ko bazaar banana aa jate ho.
Kyun dil ki dhadkanon ke woh taar chedh
Jate ho.

Jinki gungh mein ik mittas hai.
Ek aisa sitar hai jo baj toh jaye toh
Madhur Milan ka sandesh de jata hai.
Aur agar yeh toot jaye toh,
Pahad sa dard de jata hai.
Ankhon mein ansoo, aur dil ke
Hazar tookadhe kar jata hai.
Jine ka ehsaas khatam ho jata hai.

Aisi zindgi kis kaam ki
Jis mein jeene ki tamanna hi naa rah jaye
Pyaar na ho,koi chahne wala na ho.
Zindgi ek khandhar nazar aane lagti hai.
Jis ki deewaren charon aro se hill gayin hon

Aise mein ek asha jagti hai.
Tumhari parchahayi ki jhalak
Si dikh jati hai.
Ansoo.on ki dhoondli ankhon se
Usse quaid karleti hoon,
Rookti hoon moodti hoon
Usse charon aur dhoondti hoon.

Samne ne kuch dikhta nahi hai
Haat kuch aata nahi hai.
Ek ansoo ka qatra ankh se girta hai.
Har geela khud se hi hota hai.
Dagga dena toh teri fitrat hai.
Aur chahna humari majboori hai
Main tumahree bahut nazdeek hoon
Jab chahe choo lo..
Aur tumhree mujh se bahut dooree hai..
Bahut dooree hai
Kahte ho kuch kadam tum badado

Kahte ho kuch kadam tum badado
Kuch main bada doonga.
Kuch fasle tum taiy karlo
Kuch main taiy kar loonga.

Hum toh chal padhe manzil ki aur.
Ek pyaara sa sapna lekar.
Manzil humse duur nikal gayi.
Fasle badh gaye, rahain juda ho gayin.
Ek aisi andhi aayi, jo sab kuch udha
Legayi,

Ek imarat thi jahan, wahan shamshan
Ban gaya.
Pyaar loot gaya, insaaniyat mar gayi
wafa ki kishti samundar mein doob gayi.
main ruk gayee zindgee guzar gayee
Rait ke garondon ke nishan bhi mita diye
mazilen chippa lee kisee ne, sare rasate hata diye

Jis haat ko thama tha ek din, jis khayal ko
palaa tha maan mein.
Vo chhoo.tt ke is toofan ke andheron mein kho
Gaya.
ab sochte hai kal kya huya tah aaj kya ho gaya
Aab bhi hume jeena hai, judai ka gum peena hai.
Ansoo khud hi saaf karne hain, sitam kudh hi
Sahna hai.
na kisee ne soon-na hai
na hamne kahana hai
ab tanha hee rahana hai

Kya aab bhi kahte ho kuch kadam tum badado
Kuch main bada doonga.
Kuch fasle tum taiy karlo
aayo meree angulee pakar lo
par hath kahan hai angulee kahan hai
har taraf andhera hai
aur andhera hee aab mera jahan hai
mera karwan hain

kuch kkadam nahee, hazar kadam barhayoongee
par wada hai ab tumahree tarf nahee ayoongee
nahee ayoongee
Yeh hawa toh tumhe chookar aayi hai,

Yeh kaisi hawa hai jo aaj, muje chookar gayi hai.
Tumhare wajood ko mujse milakar jayi hai
Beete lamhon ka ehsaas dikha kar gayi hai.
Ek aisi na khatam hone wali pyaas jagakar gayi hai.

Dil mein soye armaan jaga kar gayi hai.
Saath beetaye huye lamhon ka hissab
Dikha kar gayi hai.
Muhabat ke vo nagame suna kar gayi hai.
Yeh kaisi haawa hai jo aaj, muje chookar gayi hai.

Pyaar mein doob jaayun aise armaan jaga kar jayi hai.
Sagar ki laharon ki jhankar sunakar gayi hai.
Bansuri ki surily awaaz sunakar gayi hai.
Yeh kaisi haawa hai jo aaj, muje chookar gayi hai.

Yeh hawa toh tumhe chookar aayi hai,
tumhari khushbu layi hai.
Milne ki aarzoo isee en jagayee hai,
pyaar ka sandesha layi hai
Jism ko har jhokna choota hai
aaj har ahsas anootha hai
mere sath huya hai yeh
ya kabhee na kabhee sab ke sath hota hai?

Yeh kaisi hawa hai jo aaj, muje chookar gayi hai.
Tumhare wajood ko mujse milakar jayi hai
Beete lamhon ka ehsaas dikha kar gayi hai.
Ek aisi na khatam hone wali pyaas jagakar gayi hai.

Monday, September 18, 2006

Doston ke kayi rang roop dekhen hain

Doston ke kayi rang roop dekhen hain
Kisi ne hume loota hai,
koi humare liye loot gaya hai.
Chaahat mein fark hai sab ke.
Koi ne dua di hai, toh koi baad dua de gaya hai.
Kisi ne humse pyaar kiya, toh koi humara dil,
Todh gaya hai.
Kisi ne hume khushiyan di, toh koi humari
Muskurahat hi cheen gaya hai.
Kisi ne rah par phool bichaye hain.
Toh koi kannte chubho gaya hai.
Kisi ne rait ke ghar bana kar diye.
Koi ghar ko hi roondh gaya.
Kisi ne kishti mein ghoomaya.
Koi kishti hi doobo gaya.
Kisi ne dulhan ban.ne ka sapna dikhaka.
Par koi kafan pahna kar chala gaya.
ab lagata hai bahut kcuh asar hee nahee karata
dekhte rahate hain khamosh se
har naye dost ka rang naya
Kisi ne dulhan ban.ne ka sapna dikhaka.
Par koi kafan pahna kar chala gaya.
Ek majboor garib biwi ki dasta.n

Ek majboor garib biwi ki dasta.n
Jo har har aur se lachar hai,
Par apne dharma ke sath judi huyi hai.
Dekhti hai sab ki bebasi ko
Liye hazar sawal maan mein

Padhi likhi hoon, kya apni zimmedari
Bant loon.
Ghar se nikal kar ek naukri talash kar loon.
Le aaun chand paise, jo sab ki bhook mitta sake.
Bujurg baba ke illaz ke kaam aa sake.

Halat aise nahi the, waqt ne sab kuch cheen liya.
Daman khali karke usmein mayussi bhar di hai.
Yaad karke dil tadap jata hai.

Hadhson.ne mein maa ki maut ho gayi.
Kafan bhi na naseeb ho saka,
Akhir safar bhi gairon ka mauhtaz raha.
Pati ne sab kuch kho diya, bachon ke
Muh se roti bhi cheen gayi.

Kahan mahalon mein raj karne wali
Sadakon ki khak chaan.ne lagi.
Gadi mein ghoom.ne wali
Aaj bheed mein dhaake kha rahi hai.

Har cheez se woh mohtaz hai,
Garibhi ki chaki mein peessrahi hai.
Rashan aur pani ki Qatar mein uski
Zindgi simmat gayi hai .

Aaj ussne dil mein ek inschaye kiya hai.
Kuch banker hai usse sab ke samne aana..
Aapne pariwar chahre hai wo noor laana hai,
Jo halat ne unse cheen liya hai.
Muhabat ka koi dastur nahi hota,

Tumse door rahkar adhurapam muje satata hai.
Pyaar bhare pal.lon ki yaad dilata hai.
Yeh churaye huye lamhe bhi ajib hote hain.
Kuch dair ki roshni dekar andheron mein
Kho jate hain.

Tum mere nahi ho sakte iska ehsaas hai.
Tumhari duniya kisi aur ki ammant hai.
Kash hum pahle mile hote.
Pyaar ke phool tab khile hote.

Muhabat ka koi dastur nahi hota,
Kab vo dil mein ghar kar jaye.
Jab tak hume paata chalta hai.
Hum dil ke haaton majboor hote hain.

Apne sare sapne tumhari zindgi ke saath
Bandh dete hain.
Achanak sachai samne aati hai
Tum par kisi aur ka adhikar hai.
Hum loote huye musafir ki tarah
Haat.on ki lakiron mein apni
Taqdeer ko doondte rah jate hain.

Khuda se shikayat hoti hai.
Jodiyan jab aasman par banti hain
Toh zamin par unhe saath kyun nahi milta.
Duniya ke theqedar deewar kyun khadi
Kar dete hain.
Pyaar bhare Dillon ko kyun alag kar dete hain.
DEDICATED TO MY kOMII BACHA

Aaj meri bagiya ka ek phool
Mere mali ne hi churaliya.
Har phool se pyaree
Us phool kee soorat thee
Shayad mali ko mujse bheejayada
Us kee Zaroorat thi.

Jab jab maine socho mera gulshan
Mukamal hai
Koi mere phool chura le jata hai.
Komii mere pyaare pariwar ki jaan thi
mujhe lagata tha hamara ayeena hai
hamree pahchan thee
Abhi socha na tha yeh din dekhna padega.
Jeewan ka ek din bhee
us ke bina aage barhega

Bitya aap jis bhi jagah ho humse
Door nahi rahogee
Ham sada sunenge tumhe
Tum hamesha kahoee
Jo pyaar aap hum sab ko dekar gayii ho
Vo jindgi bhar humre sath rahega,
Ka dariya tum se ham tak ham se tum tak
Bahata hai, bahega

Ek deep ki tarah aapne apne pyaar
Ki jot sab ke Dillon mein jagayi hai,
Vo sadaa jalti rahegi.
Ek din aayega jab hum sab aapki
Duniya main ayenge
Ek din hoga ham phir tumhe payenge.

Tab dil ke sare armaan pure karenge
Bahut sari dancyy hogi, sub ke nick
Change kar denge, aap jo chahogi
Hum sab vo hi karenge
phir tumhe bahon main bharenge.
App hamesha meri komii bacha
Rahogi, jo meri jaan hai, cfm ki
Pahchan hai.
na tum hame bhool saktee ho kabhee
na tum ko bhulana asan hai
Tumhari ankhon mein jo pyaar dekha hai.

Tumhari ankhon mein aaj jo pyaar dekha hai.
Dil kee dharakno ko jo dede wo karar dekha hai
Jo tum zubanse na kah sako vo afsana dekha hai
Maine tumharee ankhon main zamana dekha hai

Lub par jo baat atakti hai vo bahana dekha hai
Mera kho jana tumhaar bahonme chhipana dekha hai
Ankho mein tamanna, dil mein chuppaJana dekha hai
Chhatt par khule akaash taale raatonko jagna dekha hai

Tumhre sath lamhon mein rat o din guzar jana dekha hai
Dhakan mein basane ki abhilasha ka khazana dekha hai
Pure na honge yeh khawab, Basane bhahana dekha hai
Sapne main puree zindgee poora Ek zamana dekha hai

Sunday, September 03, 2006

Doosri aur beeta hua kal

Ek taraf tum ankon se door ho.
Doosri aur beeta hua kal.
Fun failaye khadha hai.
Jo samp ki tarah dasna chahta hai.
Kab tak khud ko bacha paungi
Kaise is jaal se nikal paungi.

Ek sahara paaya tha, dil mein
tumhe basaya tha
tumse dil ki baat kar lete the.
Akela naa khud ko samajte the.
Achanak kahan tum chale gaye.
Zindgi mein itne mashroof ho gaye.

Kya beet rahi hai hum par.
Tum yeh bhi naa jaan paoge.
Jhoote nikle tumhare waade.
Kaise is vishwas ko jhootlaoge.
Muje mere haal par chod do

Muje mere haal par chod do
Naa nashtar chalao in zakhamo par.
Badhi mushkil se khud sambhala hai
Tuje apni zindgi se nikala hai.
Maatt aana kabhi samne, naa takrana
Kisi mod par.

Acha hua jo raste badal gaye,
Mujse tumhare sare rishte toot gaye
Roj jo har maut marte the.
Din raat jeene se jo daarte the,
Chahre par muskurahat fir bhi rakhte the.
Khud chup chap aag mein jalte the.

Inn saalon mein rahat paayi hai.
Jeene ki chaahat paayi hai.
Milen hain kuch log aise.
Jismein duniya nayi basayi hai,
Inke sahare kat jayegi zindgi.
har kadam jinhone zindgee dikhayee hai
Kis pathar se dil laga baithe

Kis pathar se dil laga baithe,
Kaise khud ko daag laga baithe.
Log toh daman bacha kar chalte the.
Hum daman mein hi aag laga baithe

Waadon pe aitbar kiya,
chaahat ne Majboor kiya.
Rang chaahat ka khud par laa baithe.
Dil ke haaton khud ko loota baithe.

Chakor ki tarah chand ki aas laga baithe
khawish ke deep mann main jaga baithe.
amawas ki raat ko poonam ke diya jala baithe
kis pathar se dil laga baithe, kaisi yeh aas laga
baithe.
kabhi haqikat mein aakar dekho

sapno mein aate ho ,
kabhi haqikat mein aakar dekho
main tumhe chhoo kar dekhoon
tum mujh ko paakar dekho
tab ahsas ho
bin badal bhee barsat hotee hai
tab ham samjhen
bin lafzon ke baat hotee hai

tumhari khushbu ko
mehsoos karna chahti hoon,
har dhadkan ko
soon.na chahti hoon
tumhre dil mein bajte taaron mein
khud ko bun-na chahtee hoon
main nahee chahtee
tum kuch bhee kah do
tum wahee kaho jo
main sun-na chahtee hoon
main tumhree har ek baat
sun-na chatee hoon

lafzon ki jaroorat nahi
ankho se baat kar lenge
Hum har khamoshi ko,
apne dil main bhar lenge.

Kyun failate ho aise andhiyare

Aaj tujse se naraz hoon
Todha hai tumne ek maaka sapna.
Loota hai ek baap ka sahara.
Chura liya hai ek bahen se uska adhikar.
Har rakhi par aab naa milega
behan ko bhai ka haat.

Siskiyen aur tadap ban jayegi zindgi.
Kaali raat ki tarah daarayegi zindgi
Kaise baithegi doli mein bahen,
hoga naa bhai ka uthane wala haath

Kaise karlete ho yeh bewafayi.
Kaise chain ki neend sote ho.
Cheekon ki joonh jab uthti hogi
Tumara bhi dil toot.ta hoga

Kitni ebadat karte hum teri.
Har waqt sir jhukta hai tere hi aage.
Fir kyun thodh dete vishwas hamara.
kyun failate ho aise andhiyare

Akele tum bhi naa rah paaoge.

Tun bin jeene ki aadat daal lenge
Har pal marne ki aadat daal lenge
Majboor si zindgi hai hum dono ki.
Koi toh rasta nikaal lenge.
Tumhari har yaad ko seene se laga kar
Rakhenge.
Tum aabaad raho iski bhi iltiza kar denge

Har baar jab gujroge unn waadiyon mein se.
Kadam khud ba khud ruk jayenge
Jahan sham dhale hum milte the kabhi.
Woh barish ki doonde giraingi hum par.
Bhige huye tum bhi nazar aaoge.
Do saanso se jude hain hum toh.
Akele tum bhi naa rah paaoge.
Dedicated to the cfm members
Who met in toronto

Kushbhu ke kuch phool khilte hain
Dheere deere karke kuch log milte hain
Pahle naam mila fir awaaz suni.
Aaj chahre ki phachan huyi.
Aajki mulaqat kuch rishte bandh gayi.
Ek khubsurat sa ehsaas yaadgar bana gayi.
Yeh pal naa bhul payenge, sab dil main bas jayenge
jab bhi yeh ghari yaad ayegi
yeh pyaare dosto tumari yaad satayegi
Kuch batain rah jayengi, chahre tasveeron mein
Bandh ho jayenge.
Jab hum umr ke uss pahar par honge.
Har ek ke raste kahin aur nikal jayenge.
Yeh pal fir bhi dosto hume bahut yaad aayenge.
Pardesh mein basse hain

Pardesh mein basse hain, desh ki yaad aati hai.
Sondhi sondhi mitti ki khushbu, barish ki yaad dilate hai.

Sawan ke woh jhoole, jinpar sakhiyan jhoolti thi.
Mitti ke woh diye, jinse diwali roshan hoti thi.

Har mandir har church har gurudwara yaad aata hai.
Masjid ki Ajaan, apne desh ki yaad dilate hai.

Unn waddiyon ko kaise bhul jayoongi
Baraff ki chaddar mein jo lipti thii

Phoolon ki kayariyon mein joogno bhi jagmagate the.
Har batakte musafir ko ek nayi rah dikhate the.

Kaise naa yaad karoon jo piche chod aayi hoon.
Ek haat bhai ka bhi hai, jo rakhi bina soona hai.

Kuch yadain hain kuch mazaar hain.
Jin par maa baba ka naam likha hai.

Uus mitti mein hi jana hai mujko,
Pardesh toh pardesh hai, apne desh le jana mujko.
Bas yeh choti si, ek tamaana hai.
Tumse bichadh kar jo dard ka

Tumse bichadh kar jo dard ka
Ehsaas main ne paya hai.
Woh ek nasoor zakham sa
Ban gaya hai.
Tumse milne ki aas bhi choot ti
Ja rahi hai
Dobara zindgi mein dekhongi.
Iska bhi yaqeen nahi hai.
Yeh dard ki laharain is tarah
Utth rahin hain dil mein
Mano samudhar ek thahra hua
Toofan baki hai.
Hum tumko naa bhul payenge.

Waqt kaisa bhi aaye hum par
Hum tumko naa bhul payenge.
Thodha hi sahi sath magar.
Rah woh hume dikha gaya.

Jee lenge tumhare bina,
Itni himmat vo badha gaya.
Hoton se shikwa naa karenge.

Wada jo kiya hai tumse,
Har haal mein jeete rahenge.
Itni tasalli dete hain.

Huq mange bhi toh kis se
Jo hamara hai hi nahi.
Galti se do rahain ek mod par
Mil gayi
Sath samje the hum jiska,
Woh humse door nikal gayi.

Humne tumse pyaar kiya tumhari ibadat ki.
Dilme jagah di apni zindgi roshan ki
Pyaar ka ehsaas huya, apni pachan huyi.
Ek toota tara bhar gaya jholi mari
Jaga gaye who aisa sapna,
Jo khuli ankhon mein sama gaye.
Raat aab aisi koi naa aaye,
Jo tumhe mujse door lejaye.
Happyyyyyyyyy Friendship Day.

Har guldaste mein kayi phool hotain.
phoolon ke rang hote hain
chote se guldaste ko phoollon
Se jo sazaaya hai
Har dosti ka phool maine ismein
Lagaya hai.
Is mein pyaar ki koi intahaa nahi.
Is guldaste main pyar hi,
har aur chaya hai.

Humse pyaar hai, har dadkan bol rahi thi.

Itne pass tumhe pakar khud par vishwas naa hua.
Such yeh ehsaas kya tha hume se byaan naa hua

Tumhari khamosh saanse tumhare  raaz khol Rahi thi.
Humse pyaar hai, har dadkan bol rahi thi.

Ankhon mein bassi humari surat, aapki kahani khol rahi thi.
Tumhara halka sa sparsh is baat ka gawah tha.

Ankhon mein doob kar kat gayi sunhari raat.
Baton mein tham kar rah gayi hamari raat.

Neend mein khoye rahne do humhe.
Jante hain yeh sapna, par haqeekat se kahin
Jayada woh apna hai.
Sawal hamare dil mein bahut hain

Sawal hamare dil mein bahut hain
Jinke abhi jawab adhure hain.
Kyun aaye ek din anjan ban kar
Hamari zindgi mein ek musaffir ki tarah
Hume hauslle diye, hamara sahaas badhaya.
Dosti ka matlab sikhaya.
Yeh rab ki marzi thi ya kudrat ka karishma.
Anjane mein hi sahi usne hume milaya.
Pyaar ke do bol diye, hasnaa sikhaya.
Ay anjan rahi, yeh sawal aapse hain.
Tumhare karan pyar basta hai is dil mein

Tumhare karan pyar basta hai is dil mein,
Tumhare karan mere hoto par muskan hai,
Tumhare karan meri biraan jindagi puri hai aaj,
Tuare karan mere adhure sapne hakikat hai aaj.
Tumhare karan aab judai se nahhi darti..
Tum meri himmat ho kisi chattan ki tarah
Tumare sath har mausam ki dhalti sham
Subha ki sunhari roshni lati hai
Mera pyaar har bandish se azaad hai
Har pal samay ki rafter ki tarah badhta hai
Viswas hai ki tum mere ho, aur hamesha rahoge.
Har mushkil bhi aasaan ho jati
Kyun ki tumara sath mere sath hai
Beete pane fir kuch palat gaye.

Beete pane fir kuch palat gaye.
Kuch dhoondli yaadain fir aaina
Dikha gayi.
Hum toh samje thei har zakham
Bhar gaye hain.
Waqt ne har baat bhula di hai

Par kudrat ne aur din ,
Dikhane baki hain
Sazaa abhi puri huyi nai hai shayad.
Roothi khushi laut kar aati nahi kabhi
Bigdhi taqdeer banti nahi kabhi

Koi haat tham ne wala nahi hai
Koi ansoo ponchne wala nahi hai
Rah pe akele rah gaye hain.

Gahre baadal aab bhi yahin hain.
Barasne ke liye tadap rahen hai .
Shayad koi boond in paano par
Bhi gir jaye.
Har likhai vo mitta jaye
Hum naye sire se jee jayen.

gudia si beti

Subha ki ujjali kiran ho.
Har ek ke dil ki roshni ho.

Pyaar har aur failati ho.
Sabke dilon par chaah jati ho.
Tumse ik rishta bandh gaya hai
Pyaar ke dhaghe se  hume bandh liye hai,

Beti ho mere bate ki
Jaan kahlati ho meri.
Ek bar jisse batyati ho.
Usski hi ho jati ho.

Chanchalta tum bhari huyi hai
Aakar banati ho haaton se ,
Rang pyaar ke bhar ke,
Tasveer mein usse sazaati ho.

Aisi pyaari guriya naaz hai meri
Jise pane se aas puri huyi hai meri.
Kuch toh baat hai jiska pardha karte ho

Kuch toh baat hai jiska pardha karte ho
Koi toh raaz hai jo samne lane se darte ho.
Nighain kyun milane se darte ho.
Dil ki baat dil mein kyun rakhte ho.
Humse milne se kyun katrate ho.
Pyaar ke khubsooorat lamhon ko
Kyun gujar jane dete ho.
Kuch toh baat hai jiska pardha karte ho
Kis baat ka daar hai tumko, kyun pyaar ki
Haamii se darte ho
Khone ke daar se har raste bandh karte ho.
Jo hona hai who toh ho kar rahega,
Fir aaj kyun, jeene se darte ho.
Kuch toh baat hai jiska pardha karte ho
Koi toh raaz hai jo samne lane se darte ho.
Khud apni nazar laga baithi.

Khud apni nazar laga baithi.
Apni zindgi mein aag laga baithi.
Sath tha humara har pal ka
Har ghadi hum dil mein rahte the
Din milne mein dhal gaya tha
Raat khayalon mein kat jati thi.
Zindgi yunhi sunhari ho jati thi
Humhe khud par rashk hone laga
Hum khud par hi itraa baithe.
Apni zindgi mein aag laga baithe.
Uss ghrii ko aab hum koste hain
Jab yeh kah diya karte the.
Kitni khusnaseeb hain hum.
Paya hai har pal sath tumhara
Naa hoga aab tum bin guzara.
Fir ek din aisa aaya
Muj se kho gaya mera saaya.
Hum rah dekhte rah gaye.
Koi le gaya mujse mera sahara.
Kuch din ki hasi ansooyon mein
Badaal gayi
Jahan roshni ki umeed thi
Wahan andheron mein kho gayi.
Mere pyaar ne mujse muh mo.od liya
Mera dil ek hi pal mein thod diya
Khud apni nazar laga baithi.
Apni zindgi mein aag laga baithi.
Mera matam na karo mere dost

Mera matam na karo mere dost
Muj par ansoo na bahana
Aaj mein sukh ki neend soya hoon.
Tum se bichadh kar jeena ek maut,
Se badh kar tha.
Zism se jaise rooh ke bagair jeeta Hai insaan
Hazaar maut marne se ek maut achi hai.
Door uss duniya se tera dedaar
Kar loonga.
Jo ek pal milne ko tarasta tha
Aaj se tera saaya ban jayunga.
Har waqt tere sang rahoonga.
Tera mera sath sayad itna hi likha tha
Mera matam na karo mere dost
Aaj mein sukh ki neend soya hoon.
Sapno mein aane ka wada karo toh

Sapno mein aane ka wada karo toh
Kabhi na jagoon is neend se.
Milne ka wada karo toh.
Duniya chodh doon tumhare liye.
Ankhon mein baas jao toh
Kabhi na palakon ko bandh karoon.
Sath chalne ka wada karo toh,
Kabhi rokoon na apne kadam.
Pyaar ka wada karo toh soump doon
Khud ko tumhare hawaale,
Dhadkan ban.ne ka wada karo toh
Dil mein band kar ke rakh loon
Saanso mein basa loon tumko.
Umr ke jis dorahe par khadhe hain

Umr ke jis dorahe par khadhe hain
Kuch saaf nazar nahi aata hai.
Na apne jazbat na tumhara pyaar.
Chahat toh bahut hai is dil mein,
Izhaar karne ki himmat nahi
Zindgi ka koi bharosa nahi hai.
Bahut deir kar di, kismet ne rah
Dikhane mein.
Lakirain banana aur mitane mein.
Umeed toh thi char kadam sath chalne ki.
Halat ne milan ke sath judai bhi
Likh di is hatheli mein.
Umr ke jis dorahe par khadhe hain
Kuch saaf nazar nahi aata hai.
Dil ki baat dil mein hi rah jaye toh acha hai

Dil ki baat dil mein hi rah jaye toh acha hai.
Bahar aagayi toh afsaana ban jayegi.
Nazrain bhi toh dil ka ayena hoti hai,
tumse mill gayi to saare bhed khol jayengi,
saram se hum aanke bhi na mila payenge,
dil ki baat zuban se to kya ankho se bhi
na kaha payenge.......
.apne khayalo ko issi tarah sambhale
rakhenge, na khud ruswaa honge....
na tumhe rooswa kar payenge......
Kasmo mein bandh rakha hai hume.

Kaise royen hum, kasmo mein
Bandh rakha hai hume.

Ankhon mein ashkon ka samunder
Behhne ko tarasta hai.
Chalka sakte nahi, kasmo mein
Bandh rakha hai hume.

Siskiyen dhum chodhna chahti hain,
Saanse dhum thodhne chahti hain.
Maut gale lagana chahti, kasmo mein,
maar bhi toh nahi sakte .. hume kasmo ne
Bandh rakha hai hume.

Rab se ab koi sikayat nahi.

Kahan se laayun shabadon ko
Jo dil ki baat bata sakain.

Ek chote si baghiya ko phoollon
Se jo sazaa sakain.

Aaj aap sab ne milkar ek aisa gulistan
sazaya hai.

Ek anjan ladki ko har roop se wakeef
Karaya hai.

Bahen, bhai, beta, beti, poti, bhanja,
Bhanji aur doston ne mujhe apnaya hai.

Har rishte ka phool is bagiya mein
Lagaya hai.

Is bhagiya ke phoolon mein pyaar
Ki intahaa nahi.

Is bhagiya ke phoolon main pyar hi
har aur chaya hai....
jo kuch manga tha wo aaj hamne paya hai.

Saturday, July 01, 2006

Har dil mein bahar chayi hai

Aaj meri zindgi mein ek aisa toofan aaya hai.
Pyaar ke is samundar mein hare k ne muje
Dil mein basaya hai.

Faila hai khushiyon ka maahol har aur.
Har dil mein bahar chayi hai

Khushi ke pal bhi ajeeb hote hain
Zhat ankhon mein ansoo bhar dete hain
Nazrain bhi toh dil ka ayena hoti hai,

Dil ki baat dil mein hi rah jaye toh acha hai.
Bahar aagayi toh afsaana ban jayegi.

Nazrain bhi toh dil ka ayena hoti hai,
Tumse mill gayi to saare bhed khol jayengi,

Saram se hum aanke bhi na mila payenge,
Dil ki baat jawan se to kya ankho se bhi
na kaha payenge.

Apne khayalo ko issi tarah sambhale
rakhenge,
Na khud ruswaa honge, na tumhe
rooswa kar payenge.
Fir lakiron mein bassaya kyun

Sadiyon se chah thi jiski
Aaj vo humhe mila hai

Lakin fir bhi kismet se
Humko ek gilaa hai.

Faasle hi the is zindgi main
Fir sanpe dikhye kyun.

woh naa honge hamare
Fir lakiron mein bassaya kyun
Dil mein sama jate hain

Khawab kitne such hote hain.
Yeh toh kah sakte nahi.

Khawab mein dekho par jisko
Woh toh kho sakte nahi.
Palakon mein bandh ho kar
Dil mein sama jate hain

Ankhen humne bandh kar li hain.
Kahin vo door na ho jaye
Chahye naa kuch aur dekhen.
Inse dil bahla lenge.

Palak tab tak na kho lenge.
Tumhe jab tak na paa lenge.

Aaj yeh kis ki doli sazzi hai

Aaj yeh kis ki doli sazzi hai.
Kiski piya se milne ki gadhi hai.
Har taraf hai roshni bikhri huyi
Har taraf khushiyan  chhayi huyi hai.

Dulhan solaa shingar kiye hai.
Dulha bhi kuch kam nahi hai.
Aate jate baratiyon mein
Khane ki bhi kami nahi hai.

Fairon ke hote hi beti ho jati parayi hai
Babul se milne ankh Usski bhar aayi hai
Doli mein bitha kar bhai ka farz adaa huya Hai
Angan chod kar apna kaun Aaj vidda huyi hai.
Judai ki lambi raat

Kitni khushiyan hain charon aur.
Sab ki muradain puri huyi hain.
Rab ne aaj sabki baat soon li hai.
Bin mange bhar diyan hain daaman
Ussne

Itni khubsoorat saugaat di hai.
Pyaar ke sadke karti hoon main
Lakhon ki bhid mein dhoonda
Hai usse.

Gairon mein apna paya hai usse.
Badhi mushkil se apna banaya hai.

Judai ki lambi raat aab khatam
Ho jayegi.
Badhi khubsoorti se yeh zindgi
Gujar jayegi.
Kabhi juda na honge aab hum.
Aaj Rab se yeh hi dua mangte hain

Saturday, June 24, 2006

Rab se ab koi sikayat nahi. (21st June)

Kahan se laayun shabadon ko
Jo dil ki baat bata sakain.

Ek chote si baghiya ko phoollon
Se jo sazaa sakain.
Aaj aap sab ne milkar ek aisa gulistan
Sajaaya hai.

Ek anjan ladki ko har roop se wakeef
Karaya hai.
Bahen, bhai, beta, beti, poti, bhanja,
Bhanji aur doston ne mujhe apnaya hai.

Har rishte ka phool is bagiya mein humne
Lagaya hai.
Is bhagiya ke phoolon mein pyaar
Ki koi intahaa nahi.
Is bhagiya ke phoolon main pyar hi
Har aur chaya hai....

Rab se ab koi sikayat nahi.
Jo kuch manga tha wo aaj hamne paya hai.

Thursday, June 15, 2006

Har baar kahte ho sath nibhaoge.
Fir is sath mein itna dard kyun hai,
Itne fassle kyun hain.

Tumhare sivaye koi aur hai nahi
Is dil mein hamare.
Fir bhi hum Kyun tadapte hain ek
Deedar pane ke liye.

Har baat dil ki khahi nahi jati.
Fir hum kyun umeed karte hain,
Jaan.ne ke liye.

Intazaar mein ankhe num toh kar lete hain
Ansoo fir bhi kyun chuppa lete hain

Wada bhi karte ho aur nibhate bhi nahi.
Fir bhi aitbar hum kyun kar lete hain.
Hum tumse pyaar kyun karte hain
Naumeed ki roshni mein
Umeed ki kiran jagmagayi hai.
Badhe inrazaar ke baad
Aaj meri guriya mere ghar aayi hai.

Usske nazuk haaton ne jab thama
Mera haat.
Ek pyaari si muskaan ki huyi mujse
Mulakat.
Waqt tham gaya mera, jannat mil
Gayi mujhe.

Din, mahine aur saal gujarte gaye.
Meri woh nanhi si guriya badhti
Chali gayi.
Mere dil mein basti chali gayi.

Pal pal badhti bitya mein.
Kayi badlav aayen hain
Kabhi woh alhadh si guriya rani hai
Aur kabhi woh sabki nani hai.
Usski baton mein muje, apni
Jhalak dikhayi deti hai.

Aaj vo sundar nari dil ki badhi
Pyaari hai.
Meri vo dulari, sabse vo nirali
Yeh meri bitya rani hai
Gairon mein apna paya hai usse.

Kitni khushiyan hain charon aur.
Sab ki muradain puri huyi hain.
Rab ne aaj sabki baat soon li hai.
Bin mange bhar diyen hain daaman
Ussne
Itni khubsoorat saugaat di hai.

Pyaar ke sadke karti hoon main
Lakhon ki bhid mein dhoonda
Hai usse.
Gairon mein apna paya hai usse.
Badhi mushkil se apna banaya hai.

Judai ki lambi raat aab khatam
Ho jayegi.
Badhi khubsoorti se yeh zindgi
Gujar jayegi.
Kabhi juda na honge aab hum.
Aaj Rab se yeh hi dua mangte hain.

Wednesday, June 14, 2006

Fir bhi aitbar kyun kar lete hain.

Har baar kahte ho sath nibhaoge.
Fir is sath mein itna dard kyun hai,
Itne fassle kyun hain.

Jante ho tumhare sivaye koi aur
Nahi hai is dil mein.
Fir bhi hum Kyun tadapte hain ek
Deedar pane ke liye.

Har baat dil ki khahi nahi jati.
Fir hum kyun umeed karte hain,
Jaan.ne ke liye.

Intazaar mein ankhe num toh kar lete hain
Ansoo fir bhi kyun chuppa lete hain

Wada bhi karte ho aur nibhate bhi nahi.
Fir bhi aitbar kyun kar lete hain.
Hum tumse pyaar kyun karte hain
Dildar ki khabar rakhte hain

Har chahne wale, pyaar ki
Khabar rakhte hain.

Har mali apne gulistan ki
Khabar rakhte hain.

Rah par chalne wale, apni
Manzil ki khabar rakhte hain

Humse poocho hum apne
Dildar ki khabar rakhte hain

Saturday, June 10, 2006

Meri majboori hai

Tumse pyaar na karma meri
Majboori hai
Apni zindgi mein jagah na dena
Meri majboori hai

Khud ko apne aapme chuppakar
Rakhna meri majboori hai

Ankhon mein ansooyon ka sailab hai
Hoot.on par fir bhi muskarahat lana
Meri majboori hai

Apni tadap tum par naa khul gaye.
Tumse door jana meri majboori hai

Meri inn majbooriyon ko tum par
Zahir na karma bhi meri majboori hai.
Fir bhi akela hoon

Lakhon ki bhidh mein hoon
Fir bhi akela hoon

Suraj ki roshni mein hoon
Fir bhi andhera hoon

Dil ka kya haal kahoon
ikk lutta hua Musafir hoon

Dil toh le hi gaye they
dharkan bhi le jate

Jo soona pan diya hai
Usse apne dilse baar dete

Ek hasin sa tassuwar in
Ankhon mein chodh dete.

Akhri pal mein hi sahi
Humre humsafar ho jate
Kahin aahain toh kahin aansoo

Pyaar kiya hai toh unke
Uusool bhi nibhane honge

Kahin aahain toh kahin
Aansoo bahane honge

Khuli ankhon se jo sapne
Dekhenge
Bandh ankhon se unhe
Gawane honge.

Roshni jo deeyon mein
Jalayi hai
Unhe andheron mein
Lautane honge.
Fir bhi intazaar hai tumhara.

Meri zindgi mein nahi ho.
Fir bhi intazaar hai tumhara.
Is dil ki dadkano mein naam
Hai tumhara.

Ankhon mein tasveer hai tumhari.
Neend mein khwab hai tumhara.

Hawayon mein khushbu hai tumhari.
Fizaayon mein agmaan hai tumhara.

Ho.oton par muskurahat hai tumhari,
Phoolon mein rang hai tumhara

Meri zindgi mein nahi ho.
Fir bhi intazaar hai tumhara
Dedicated to Deepey.

Kahan se aaye ho ajnabi,
Kahan le chale ho mujhe,
Do pal mein dedi hai mujhe
Duniya Bhar ki khushiyan mujhe

Kal tak jise main janti tak na thi.
Aaj woh sabse pyaara lagne laga hai.

Mera din raat uski yaadon mein
Khone laga hai
Har chahre woh hi mujhe nazaar
Aane laga hai

Apne aap hi sharma jati hoon.
Usko yaad karke nazarain khud
Hi jhuka jati hoon.

Yeh ajnabi kya tum bhi mujhe
Utna hi chahte ho,
Jitna main tumhe chahti hoon
Charon aur ghanghor andehra hai
Kuch bhi nazaar nahi aa raha
Roshni ki ek kiran bhi kahin se
Nazar nahi aarahi hai.

Tanha khadi hu dorahe main,
Koi manjil nazar nahi aa rahi..
Door kahin ek timtimata tara.
Dikhayi deta hai.

Jo mere liye toh bahut chota hai
Par kisi aur keliye ghar ka ujala hai

Ussi roshni ko dekhte huye puri
Raat kat di.
Subha ki pahli kiran mere ghar
Ujala le aayi
Shayad koi dost mil jaye.

Tanhayise nikal kar dekho.
Shayad koi dost mil jaye.
Kab tak apne aapko is.
Gahrai mein chipate rahoge.

Bahut khubsoorat hota hai.
Ek dost ka sath.
Jo har mushkil mein aapke
Kadam se kadam milakar chalega.

Chahye koi bhi rukawat aaye
Apne aapko akela nahi paoge.

Uski himmat tumhari takat
Banjayegi
Tumhari zindgi ko nayi rah
Mil jayegi
Khoon se likhi yeh dastan

Yeh din kis tarah kate hain
kah nahi sakte.
Siskiyon aur ansoo ka hissab
dikha nahi sakte.
Num ankhon se aansoo baha
Nahi sakte
Dil par kya gujri hai bataa nahi
sakte
Taron ki ginti bataa nahi sakte
Tumhari yaadon ko lauta
Bhi nahi sakte.
Ragistan mein phool khila
Nahi sakte
Patjhadh mein bahar laa nahi
Sakte.

Hamara toh daman kal bhi kahli
tha aaj bhi khali hai.
Khoon se likhi yeh dastan kisiko
Suna bhi nahi sakte.
Khushiyan di do pal ki.

Khushiyan di do pal ki.
Tanhahi mein fir lauta diya.
Jana hi tha agar toh.
deeye jalaye kyu is dil main.
Zakham dete bhi ho aur.
Aur ansoo bhi na bahayen.

Yeh kaisi majboori hai dilon ki.
Jinki dadkan toh ek hai.
Par rahain alag alag hain.
Chahat toh ek hai, duniya alag hai.

Kaise karain yeh fasle kam.
Kaise milayen unn lakiron ko.
Jo halaat ke haaton majboor hain
Koi toh rah dikhao, mujhe mere
Pyaar se milao.
Aaiene kaha

Aaj mere samne khadhi kon hai.
Kaun apne aapko dekh rahi hai.
Pahle ki tarah kuch bhi nahi dikhti
Kya yeh woh hi nutkhut si
Alhadh ladki hai.
Jiske khubsoorti ke charche
Har aur hua karte the.

Iska vo yowan kahan chala gaya.
Chehra bhi murzaa gaya hai.
Uss par jhurrriyan saaf nazaar
Aa rahin hain.
Rang bhi kala padh gaya hai.
Ankhon se bhi kam nazaar aata hai
Pahle jaisa kuch bhi nahi raha.

par khubsoorti maan ki hoti hai
jo kabhi bhi aapse door nahi jati.
Yeh tasveer tumhari aajse bis saal
Baad ki hogi ainene kaha
Samjhote ki zindgi

Agar tumhe kisise pyaar hai toh.
Waqt rehte dil ki baat kah do.

Kayi baar hum itna waqt laga
Dete hain.
Who ghadi jiska humhe intazaar
Hota hai, haat se nikal jati hai.

Hum dekhte rah jate hain aur
Menhdi kisi aur ke naam ki lag
jati hai.

Fir humhe zindgi bhar ek ehsaas
Satata hai,
kash humne dil ki bata di hoti,
Toh aaj zindgi kuch aur hoti

Hum yun samjhote ki zindgi
Naa jee rahe hote.
Har shaks mein chahra tumhara paya.

Kis tarah bhula baithe ho.
Tumhe paata bhi nahi hoga.

Jab bhi kuch socha toh.
Apni sochon mein tumhi ko paya

Rab ki puja ki toh bhi khayal
Tumhara hi aaya
Nikli ghar se bhulane keliye.
Har shaks mein chahra
Tumhara paya.

Har roam mein bas.ss ho is tarah
Jis tarah dil mein saans basti hai.

Kis tarah bhula baithe ho.
Tumhe paata bhi nahi hoga.
Na dekho maan yeh sapne

Na dekho maan yeh sapne
Tumhe dekhne ka koi huq nahi hai.

Kisi ki umeed na karo
Tumhari zindgi mein soona pan hai.
Kaise tumne soch liya ki
Tumhe bhi pyaar ka huq hai.

Tumhe toh jeene ka bhi huq nahi
Sab kuch tumhara chin gaya hai.

Kuch bhi toh nahi hai tumhare pass.
Fir kaise yeh sapne dekhne chal padhde
Do ajnabi

Do ajnabi anjane mein milte hain
Dheere dheere unke khayalat
Milne lagte hain.

Vishwas ka ek rishta janam
Leta hai un dono mein
Dosti ki woh misal ban jate hain.

Aab na toot.te ga yeh bandhan
Aaj yeh kasam khate hain.

Pass na rahain toh koi ghum nahi
Door rahkar bhi sath nibhayenge

Milan hi pyaar nahi hai.
Judai bhi toh pyar hai.

Aao ye duniya ko dikhate hain
Dooriyan jagah ki hoti hain
Dil toh hamesha pass hote hain.
Fir laut ke chale jana.

Ek baar chale aao zindgi mein
Fir laut ke chale jana
Hum gila na karenge tumse
Naraz naa honge hum
Kya tumse rootne ka huq bhi
Nahi hai humko
Ek baar chale aao.
Fir laut ke chale jana.

Dil thod ke tum chal diye
Is bat ki tumko kya khabar
Kya hum par beeti hai.
Itna toh soon jao.
Ek baar chale aao.
Fir laut ke chale jana
Jiska intazaar tha vo nahi aaya

Kahan jana tha kanah chale aaye.
mere saaye bhi bich raaha main..
saath chod gaye...
manzil par pahuch kar dekha ..
to kisi anjan ko paya....
Jiska intazaar tha vo nahi aaya…

Kyun hum jhuthi dilasa dete hain..
Apne aapko..
Kyun chalte hain unn rahon par.
Jinke humsafar nahi hote.

Shayad yehi zindgi ka usul hai.
Kuch pana kuch kona.

Wednesday, May 31, 2006

Chahat par koi jhor nahi

Hum kuch kahte nahi,
Dard fir bhi chupaye rakhte hain,
Aapse milne ki jazbat,
Aab bhi dil main sanjoye rakhte hai,

Kya huwa agar tum kahi door ho,
Pyar to sine main dabaye rakhte hai,

Chahat par koi jhor nahi,
Tumhe chahne ki izzaazat hum
Fir bhi banaye rakhte hai.
Tanhayise nikal kar dekho.

Tanhayise nikal kar dekho.
Shayad koi dost mil jaye.
Kab tak apne aapko is.
Gahrai mein chipate rahoge.
Bahut khubsoorat hota hai.
Ek dost ka sath.

Jo har mushkil mein aapke
Kadam se kadam milakar chalega.
Chahye koi bhi rukawat aaye
Apne aapko akela nahi paoge.

Uski himmat tumhari takat
Banjayegi
Tumhari zindgi ko nayi rah
Mil jayegi

Tuesday, May 30, 2006

Agar tumhe kisise pyaar hai

Agar tumhe kisise pyaar hai toh.
Waqt rehte dil ki baat kah do.
Kayi baar hum itna waqt laga
Dete hain ki
Who ghadi jiska humhe intazaar
Hota hai, haat se nikal jati hai.

Hum dekhte rah jate hain aur
Menhdi kisi aur ke naam ki lag
jati hai.

Fir humhe zindgi bhar ek ehsaas
Satata hai,
kash humne dil ki kar li hoti,
toh aaj zindgi kuch aur hoti

yeh samjhote ki zindgi naa jee
rahe hote.
Rishte

Har rishte ki apni pahchan hoti hai
Chahe vo khoon ka ho ya dilse
Banaya gaya hon
Rishta toh rishta hi kahlata hai.
Maa baba ka ho, bhai bahen ka ho
Pati patni, ya koi aur.

Har rishta mein ek ehsaas hona
Zaroori hai, jo rishton ko bandhe
Rakhta hai.

Jis rishte mein pyaar naa ho ehsaas.
Na ho, woh kahan tik pata hai.
Who toh ek rait ki khokli deewar ki
Tarah gir kar toot jata hai.

Khayalat milna, bharosa karna,
Har ek ke jazbaton ko samaj kar
Zindgi ko sanjoye rakhna.
Rishton ko banaye rakhne ke
Sadhan hai.

Jo in rishton ko nibha jaye
Ussi ko zindgi kahte hain.
Hum kuch kahte nahi,

Hum kuch kahte nahi,
Dard fir bhi chupaye rakhte hain,
Aapse milne ki jazbat,
Aab bhi dil main sanjoye rakhte hai,

Kya huwa agar tum kahi door ho,
Pyar to sine main dabaye rakhte hai,

Chahat par koi jhor nahi,
Tumhe chahne ki izzaazat hum
Fir bhi banaye rakhte hai.

Thursday, May 18, 2006

Gusthaki humse hui hai

Mujhe koi huq nahi hai dil laganeka.
Main kaise ye galti kar baithi hoon
Tumhari zindgi ko apni zindgi samaj
Baithi hoon

Apni kamiyon ko dekhti hoon toh.
Apni ki huyi gustaki mujhe khalti hai
Khud par sharm aati hai.

Mujhe maaf karna ye dost
Na jane kya soch kar ye channd
Kadam Aage badha liye the.
Aaj apne ko hi nafrat se
dekhti hoon

Aapka koi dosh nahi hai
Gusthaki humse hui hai
khud ko Sazaa bhi hum hi denge
tmaam umer tadapte rahange.

Monday, May 08, 2006

zindgi mein pyaar

zindgi mein pyaar se badhkar
koi jazbaat nahi hai.
zindgi itni khubsoorat hai ise
ji bhar kar jeeo
Dobara nahi aayegi hai
Jitna pyaar doge uss se jayada
Paoge

Aap kush ho toh har cheez
Khubsoorat nazar aati hai.
Udaas hoge toh sab dhundla
Nazar aayega.
Aapne bhi paraye nazar aayenge.
Waqt rait ki tarah haat se fisal jayega.

Ek baar chala gaye waqt toh fir laut
Kar nahi aayega.
Zindgi bhi ussi tarah hai.
Ek baar nilak gayi toh laut kar
Nahi aayegi.
Kyu bhaijte ho mujje uss rah pe

Kyu bhaijte ho mujje uss rah pe
Jahan se main laut chuki hoon.
Unn rahon par mujhe dukh ke
Siway kuch nahi mila hai.
Har raat ro kar katti hai.
Har din siskiyon main.
Rooh kamp jati hai humari
Ek pal bhi yad karoon toh.
Kyu bhaijte ho mujje uss rah pe

Meri zindgi ko aur narak naa banao
Do char din mujhe bhi kush ho lene do.
Badhi mushkil se sanjoye hain yeh pal.
Kuch deir toh sapne ji lene do
Toot jayenge ye sapne hum bhi jante hain
Jhuthe hi sahi, par dekhne toh do.

Subha hogi hum fir uss rah par hoonge
Kuch siskiyan aur kuch ansoo hoonge
Zindgi rook jayegi hamari aakhri saanson
Ko pane ke liye.
Kuch yadain hoongi tadapane ke liye.
Kyu bhaijte ho mujje uss rah pe

Friday, May 05, 2006

Kiski yeh tasveer ho tum

Yeh jhuki jhuki si palaken
Bin kahe bahut kuch kah jati hain
Hoton ki yeh muskarahat dil ko choo,
Kar jati hai.
Chahre ki ye lali dilkash adaa dikhlati hai
Gore rang par kala til madhosh hume,
Kar jata hai.
Kiski yeh tasveer ho tum

Bin dekhe hum mar mithe hain
Dekhenge toh kya hoga
Kya in zulfon ko sawar paange
Unn hathon ko tham paange.
In zeel si nili ankhon mein khud.
Dekh paange
Kiski yeh tasveer ho tum

Kuch toh kaho ye jaanemaan
Ek bar bahar nikal aao.
Apni ek jalak se tum is dil ko
Karar de jao.
Ik adhura khwaab
suljha jao
Mere paas toh aab tum aa jao
Kiski yeh tasveer ho tum
Ruth aati jati hai.

Mausam badalte hain ruth aati jaati hai
Kahin phool dikhte hai toh, kahin patjhad hoti hai
Garmi ke mausam mein ghar ki chath
Yad aati hai.
Sawan mein zoolon ki yad satati hai.
Ruth aati jati hai.

Pahadhon par barfily fizayen dikhti hain
Baghon mein haryali muskaan failati hai.
Har mausam mein ek alag masti
Ka mela hota hai.
Waqt gujarta hai, sal beetain hain
Har ruth mein hum unke sath chalte hain
Ruth aati jati hai.
Ae chanda aaj ki raat yahin tahar jana

Ae chanda aaj ki raat yahin tahar jana.
Taron ko bhi sath le aana.
Aaj unse milne ki raat hai.
Ghawah rahna is mulakatka ka.
Jab hum door ho jayen kabhi
Tab dil ka sandesh suna aana

Chahe rasta lamba ho ya,
Desh begana
Par humse door naa jana.
Ae chand aaj yahin tahar jana.

Likhenge khat agar sunayenge tumhe.
Dilki baat un tak pahucha aana.
Ae chand aaj yahin thahar jana

Tuesday, May 02, 2006

Yeh kaunsi kashish hai.
Jo baar baar uss aur le jaati hai.

Andekhi raah par jinke
Raaste kathiin hain
Reit ka mahal kahan ban payega
Hawain usse uddaa le jayengi.

Samundar mein kastiyaan
Utar toh jati hain
Par sabko milte kahan kinare hain.

Kuch kastiyaan bicch raah
Mein hi doob jaati hain.
Tumahari har pareshani mein

Tumahari har pareshani mein
Sath rahna chahti hoon
Har duhk har khushi bantna
chahti hoon

Kyun udaas ho is tarah,
Agar ghum aayen hain toh
Mitt bhi jayenge.

Dard ke badal chath bhi jayenge.
Subah ka suraj nayi roshni layega.
Tumhari zindgi kushaal kar jayega.

Hum uss rah mein phool bichayenge
Jis rah se tum gujar kar jaoge.

Friday, April 28, 2006

Yadon ke silsile

Dard ankhon mein ansoo bankar bahta hai.
Dil ko ek zakham de jata hai
Yadon ke silsile chalte rahte hain.

Rook jata hai waqt unn lamho mein.
De jata hai fir ek dhuk.
Rah jate hain hum fir tanha.
Ek bar fir unn viran rahon mein
Asman ko chuna chahti hoon

Aaj ek chidhiya bankar hawa mein
Udhna chahti hoon
Un bulandhiyon ko chuna chahti
Jinki is dil ko chah hai,

Is pedh se uss pedh par jana chahti hoon
Asman ko chuna chahti hoon.

Tumhari ghar ki chaatt par aana chahti hoon
Tumhari khushiyan dekhna chahti hoon.
Un mein shameel hona chahti hoon

Kabhi nazaar aajaun tumhe toh
Band kar lena pinjre mein is chidiya ko
Hogi maharbani tumhari.
Sari umar kaat lete

Jin rah par chalain hi na hon
Dil ki awaaz ko kaise jaan lete,
Koi ishara hi kar dete
Hum jate huwe lamho ko tham lete,
Pyar ka ijhar hi kar dete

Humara chalte huye haat hi tham lete.
Pyaar aapke dil mein hai
Hum ankhon se padh lete
Kuch aisi baat kar jate
Hum sumhari yaado ke sahare
sari umar kaat lete

Thursday, April 20, 2006

Tumhari ek tadap

Tumhari ek tadap ne is kadar humare
Dil ko hilakar rakh diya, hum sochte rah gaye.

Kis tarah beete honge vo pal aap par.
Kis tarah dil ko sambhala hoga

Kis tarah ek ansoo bhahaya hoga.
Aur kis tarah ek ansoo chupaya hoga.

Kash waqt tham jata aur hum aapke saat hote.
Aapke saare ansoo hum aapni ankh mein samait lete.
Aapki zindgi khushiyon se bhar dete.

Jaante hain ki waqt bahut door nikal gaya hai,
Aur faasle bhi bahut hain.

Rab se yehi dua mangte hain ki,
Aapki zindgi main koi gum na aaye
Koi kammi na rahe gaye.

Humare hisse ki khushiyan bhi,
Aapko naseeb ho jayen.

Kabhi aapne aapko akela paa o
Toh door ek sitare ko dekhna.

Ussme aapke liye dua mangte huve
Humhe aapne pass paoge.

Wadda hai aapse zindgi bhar
Ek toot te huae tare ki
Tarah aapka saat nibhayege.
Dedicated to my little sister Arfa

Ek pyaari si guriya hai
Jo sab ke dillon ki chahat hai
Jo aab sab ki jaan hai.
Kal woh sab ki pahchan hai

Aab tak chupa hunar hai usska
Mehndi ki who kalakar hai.
Rang haaton mein bharti hai

Naam pyaar se likhti hai.
Dulhan ko woh savarti hai

Aisi pyaari si yeh bitiya
Ma baba ki woh dulari hai.

Arfa naam hai is guriya ka
Sab se vo nirali hai.

Dil ki baat kah jani hai.

Neend ankon se gayi hai,
Chain dil se gaya hai

Haalaton ne aisi karwat li
Sab tham sa gaya hai.

Pyaar is tarah baichain karta hai
Yeh toh socha hi na tha

Aab toh deir ho gayi hai,
Ek kahani shuroo ho gayi hai.

Tum tak baat pahuchani hai
Dil ki baat kah jani hai.
Mera who bachpan kahan hain

Door ek ghar ke angan mein bachon ki kilkari sunti hoon
unke bachpan mein apna bachpan dhooondti hoon
jo naa jane kahan kho gaya hai.

Ma ka pyaar dhoondti hoon, jisse kho chuki hoon
Who aanchal nahi hai aab, jo har ghum se mujhe bacha sake.

Baba ki danth doondti hoon, jo galti hone par padhti thi.
Woh bahen doondti hoon, jo har toofan se mujhe bacha leti thi.
Jo mera sahara thi.

Mera angan kahan hai, mera who bachpan kahan hain
Koi doond ke lado mere uss bachpan ko.

Monday, April 17, 2006

Hum aisi hasrat hain

Hum aisi hasrat hain
Jisse tum chah kar bhi bhula na paoge

Kabhi gar yad aajaye humari.
Apne hi dil mein jhank lena.
Paa jaoge tasveer humari
Dil ki ankon se chu lena hume yun
Jis tarah ek pankhkhudhi ko choote

Badhi mushkililon se paya hai tumhe
Apne haaton ki lakiron mein
basaya hai tumhe
kudrat se bhi chupaya hai tumhe
apni zindgi banaya hai tumhe

todhna naa aab saat hamara
naa majdhar mein chodh jana
yehi iltaza hai humari.

Wednesday, April 12, 2006

Aapke nishan dhoond rahain hain

Kya aapne bhi kabhi humhe, is kadar yaad kiya hoga.
Kya aapka dil bhi, humare liye tadpa hoga.
Kya aap un rahon par gaye ho ,
Jahan se hum gujarte the kabhi,

Kya unn phoolon ko chua hai.
Jinhe humne mil kar lagaye the.
Kho gaya vo sab, aur rah gayin hain sirf yaadain
Hum aaj bhi unn rahon par akele
Aapke nishan dhoond rahain hain.
Kyun aate ho dene dard ko.

Kyun aate ho dene dard ko.
Kyun le jate ho khushiyon ko.
Sapno ki duniya se hum
Bahar nikal kar aate hain.
Tum fir unmein le jate ho.
Kyun aate ho dard dene ko.

Hum hi nadan hain jo.
Har bar maan lete hain.
Aapse pyaar hai isliye.
Jaan bhi de dete hain.

Waqt tham jata hai humara.
Dil ki dadhkan rook jati hai.
Aapke jane se jan bhi chali jati hai.
Kyun aate ho dard dene ko.
Yeh dost hum tere hi rahenge

Dost mila bhi toh uss waqt jab hum toot chuke the.
Humhe koi apne kareeb,chahiye tha.

Tera aana mere liye vardaan ban gaya
Shayad rab ko bhi taras aagaya

Aab na mange.enge rab se kuch.
Duayon ke roop mein ussene humhe,
Ek farishta baij diya, zindgi ki khushi dedi.

Sanjo kar rakhenge har uss sapnoko,
Jo tumhari ankho se dekhenge.
Yeh dost hum tere hi rahenge
Kahin tum majboor ho toh kahin hum.

Koi bhalaa apni zindgi se bhi rooth sakta hai.
Inhi sawalon mein ulaz kar rah gayen hain.

Ek masoom sa chahra lekar aa jate ho samne.
Apne isi andaaz se lubha jate ho humhe.

Kabhi pyaar toh kabhi gussa aata hai.
Kabhi rone ko g kar jata hai,

Aane ka wada karte ho par aate nahi.
Intazaar ki lambi judai de jate ho.

Kahin tum majboor ho toh kahin hum.
Isliye naraaz bhi naa ho paate hain.
Char din ki khushiyan

Char din ki khushiyan,
zindgi bhar ke
Ansoo ban jate hain
Har sahar sham ban jati hai.
Jis ghadi tumhari yad aati hai.

Hamari mahubaat bewafa nahi hai.
Waqt ke haaton majboor hai.

Kabhi gujro jo is dagar se
Unn ankhon ko dekhna jo pathra gayin hain
Ek nazaar tumhara dedaar pane ko.

Unn sansoo ko mehsoos karna jo
Tham jayin hain is dil mein.
Unn hawa. oon ko chuna,
Jo humse se ho kar gayin hain.

Yahin is rah par ek kabr hai hamari.
Agar bhule se thokar lag jaye toh.
Naraaz naa hona.
Isi bahane se pa jayenge sparsh tumhara,

Kabhi aaye agar yad hamari.
Do phool chadha dena hum par.
Bas itni si hai gujarish hamari.

Friday, April 07, 2006

Kaise honge who pal

Kaise honge who pal,
jab aapko mil jayenge.
Kya apni muskrahat,
Hum chupa payenge

Ek hi pal mein mil jayegi
Jannat
Jis pal tera deedar ho jayega.
Hoga wadaa na kabhi juda hone ka
Ek kasam yeh bhi kha jayenge

Roshan hogi duniya humari
Har chirag yeh kah jayenge.
Kabhi rut te ho toh kabhi maan jate ho.


Kabhi rooth te ho toh kabhi maan jate ho.
Kabhi dikhte ho toh kabhi ankhon se door
Ho jata ho.
Pyaar hai yeh bhi bhul jate ho.

Kaise maan loon tumhari har baat ko
Baaton mein bhi, tum dhokha de jate ho.

Apni aur se toh kahte nahi ho,
Hum hi se kahalwate ho,
Pyaar ki haami humse hi bhar.wate ho

Kaisa yeh pyaar hai, Jo dil mein toh hai
Par zubaan par nahi late ho.

Wednesday, April 05, 2006

Aapki nazzron mein aapna, ashk dekhti hoon
Jab bhi dekhti hoon in mein, pyaar dekhti hoon

Palakon mein chupa lena, dil mein basa lena
Chand pallon ke liye aapna bana lena.

In lamhon ko sambal kar rakhna chahti hoon
In hi mein jina ya marna chahti hoon
Aisa kyun hota hai.

Pass aate aate dil toot jata hai,
Yaar rooth jata hai, haat choot jata hai
Aisa kyun hota hai

Hum pyaar hi ki khatir ji rahe the
Duniya ka har ghum pi rahe the
Har rah par tumhe doond rahe the
Aisa kyun hota hai

Pyaar rooth jata hai, yaar choot jata hai
dil toot jata hai, aisa kyun hota hai

Har ghadi yad aati hai, tumhe pass lati
Sapne dikhati hai, neend utha jati hai,
Aisa kyun hota hai

Pass aate aate dil toot jata hai,
Yaar rooth jata hai, haat choot jata hai
Aisa kyun hota hai

Thursday, March 23, 2006

Meri zindgi mein chale aaye

Aap jab pahle meri zindgi chale aaye
Ek pyaare se aur dilkash andaz mein.
Mujhe is baat ka koi fark nahi tha ki
Aap kaun ho.

Par aab main aapke bina kuch nahi hoon
Jab aapne choo aa mujhe.
Meri duniya hi badal gayi
Meri har dhadkan jag uthi
Mano maine ek naya janam liya ho
Aap meri zindgi mein chale aaye

Aab meri har dadhkan aapko janti hai,
Aapki har saan pahchanti hai.
Har kadam jo aab mere uthete hain.
Soon saan rahon par, aapka haat
Aapki awaaz, aapki takat mera sahara hai.
Aapka sparsh meri adat ban gaya hain

Jab se aap meri zindgi mein aaye ho.
Aapne har dard mera aapna bana liya

Tuesday, March 21, 2006

Tumhare bina

Har cheez adhuri hai,Tumhare bina
Ye zindagi adhuri hai, Tumhare bina
Phoolon mein khushbu, Diyon mein roshni
Sawan ki barish adhuri Tumhare bina

Shingar bin dulhan, Choli bina sari
Shyam bin radha, Ghungru bina payal
Piya bin sajni,chudhi bin kalayi
Maathe ki bindiya adhuri hai,Tumhare bina

Har cheez adhuri hai,Tumhare bina
Ye zindagi adhuri hai, Tumhare bina

Diya bin bati, chand bin chandni,
Veena bin taar, sur bin awaaz,
Door bin patang, saanson ki sargam,
Dil ki dadhkan adhuri hai Tumhare bina

Har cheez adhuri hai,Tumhare bina
Ye zindagi adhuri hai, Tumhare bina
Phoolon mein khushbu, Diyon mein roshni
Sawan ki barish adhuri Tumhare bina

http://media.putfile.com/Tumhare-Bina

Monday, March 20, 2006

Aanchal mein sama na sake

Itni khushiyan na do mujko.
Jo is aanchal mein sama na sake
Itne maat kareeb aao ki,
Ki hum door ja naa saken

Dil ki gahraiyon mein baste ja rahe ho.
Door rahkar bhi pass aa rahe ho.
Dosti ka har farz adaa kar rahe ho.

Kya hoga agar yeh sapna toot jayaga.
Koi ghahra sa sadma humhe lag jayega.
Toot.te ga dil hamara, ansoo bhi bahenge,
Rote huve hum fir bhi yehi kahenge.

Kuch pal hi sahi jo aapne humhe diye.
Ussi mein tamaam umr hum ji liye.

Saturday, March 18, 2006

Mahi meri jind le gaya

Kaddi phool ke vi na,
takya jine mere val,
Jandi veri jind le gaya.

Mudh aaja mahi ve ik veri.
Chadd jawangi mai duniya sari.

Tuur pawangi mai tere naal
Mahi meri jind le gaya

Tuesday, March 14, 2006

Dil dukhaya hai humne aapka

Janti hoon dil dukhaya hai humne aapka
Mere ek shabad ne aapko rulaya hai.

Pyaar mein jina humhe aata nahi.
Duniya ne humhe yehi sikhaya hai.

Dil ko ek deewar mein chunwaya hai.
Lekin aapko hi aapne dil ke kareeb paya hai.

Aapko tadapane ki sazaa hum khud hi soch lenge.
Jitne ansoo aapke bahe hain,
usse jayada hum baha denge.

Waqt gawah rehega is baat ka.
Marne ke baad, agar janam lenge.
Toh rab se aapko hi maang lenge.

Monday, March 13, 2006

Khawabon ki ikk nayi duniye bsaate hain


Waqt ke hathon insaan kitna majboor hai
chahte huwe bhi usko wapas nahi la sakta

choro waqt ko, aao ikk naya itehaas likhte hain
Khawabon ki ikk nayi duniye bsaate hain

Jo dil ko de sakoon, vo yaadain ikhathi kerte hain
Kahin door ja ke, sapno ka ek mahal banate hai

Dil ke gulshan mein, pyar ki kaliyan khilate hain
Zindgi ko ek naye modh pe le jate hain

Raaton mein chand sitaron ki tarah
Appne pyar ki roshni ko door tak phaelate hain

Din mein suraj ki tarah, sabke dilon mein
Pyar ke nishan chodh jate hain

kisi modh pe humien koi alag na kard
Chalo ek doosre mein smaa jate hain

Khawabon ki ikk nayi duniye bsaate hain


Friday, March 10, 2006

Vishwas

Dil ke har ghum ko bhulana chahti hoon
Khul kar samne aana chahti hoon.

Himmat saat nahi deti dil awaaz nahi deta.
Mazboor hum is kadhar hain,
ki koi haat nahi deta.

Chodh diya hai, khud ko mukadhar ke hawale,
chahe jahan le jaye.
Tumhari bhahon ke ghere mein.
ya uss virane, jahan sirf kale saye hon.
Jo is jindgi ka hissa baan chuke hain

Tum par kaise kar loon main vishwas.
Jab khud par hi na raha ho.
Yeh ghadi aap par kitni mushkil hai,
Iska ehsaas mujhse chhuppate ho

Sab ko kushiyen bant.te ho,
Aapne ghumo ko chhupate ho.

Koi aapki ankhon mein jhank na le.
Jhooti khushiyon ko sajate ho.

Naam zubhan par na aaye usska.
Ik nayi kahani roz sunaate ho.
Zindgi maut ban jati hai

Zindgi ek na kiye huve gunnah
Ki sazaa hai.
Jo shuroo toh ho jati
Par khatam nahi hoti

Har pal isme insaan thapdhta rah jata hai
Shabon ke tir dil ko kaise chaidh jate hain,
Koi mujse pooche

Har shabadh ek khanjar chalata hai.
Har lafaj dil chir jata hai.

Zindgi maut ban jati hai.
Par maut hai ki aati nahi.