Monday, September 18, 2006

Doston ke kayi rang roop dekhen hain

Doston ke kayi rang roop dekhen hain
Kisi ne hume loota hai,
koi humare liye loot gaya hai.
Chaahat mein fark hai sab ke.
Koi ne dua di hai, toh koi baad dua de gaya hai.
Kisi ne humse pyaar kiya, toh koi humara dil,
Todh gaya hai.
Kisi ne hume khushiyan di, toh koi humari
Muskurahat hi cheen gaya hai.
Kisi ne rah par phool bichaye hain.
Toh koi kannte chubho gaya hai.
Kisi ne rait ke ghar bana kar diye.
Koi ghar ko hi roondh gaya.
Kisi ne kishti mein ghoomaya.
Koi kishti hi doobo gaya.
Kisi ne dulhan ban.ne ka sapna dikhaka.
Par koi kafan pahna kar chala gaya.
ab lagata hai bahut kcuh asar hee nahee karata
dekhte rahate hain khamosh se
har naye dost ka rang naya
Kisi ne dulhan ban.ne ka sapna dikhaka.
Par koi kafan pahna kar chala gaya.
Ek majboor garib biwi ki dasta.n

Ek majboor garib biwi ki dasta.n
Jo har har aur se lachar hai,
Par apne dharma ke sath judi huyi hai.
Dekhti hai sab ki bebasi ko
Liye hazar sawal maan mein

Padhi likhi hoon, kya apni zimmedari
Bant loon.
Ghar se nikal kar ek naukri talash kar loon.
Le aaun chand paise, jo sab ki bhook mitta sake.
Bujurg baba ke illaz ke kaam aa sake.

Halat aise nahi the, waqt ne sab kuch cheen liya.
Daman khali karke usmein mayussi bhar di hai.
Yaad karke dil tadap jata hai.

Hadhson.ne mein maa ki maut ho gayi.
Kafan bhi na naseeb ho saka,
Akhir safar bhi gairon ka mauhtaz raha.
Pati ne sab kuch kho diya, bachon ke
Muh se roti bhi cheen gayi.

Kahan mahalon mein raj karne wali
Sadakon ki khak chaan.ne lagi.
Gadi mein ghoom.ne wali
Aaj bheed mein dhaake kha rahi hai.

Har cheez se woh mohtaz hai,
Garibhi ki chaki mein peessrahi hai.
Rashan aur pani ki Qatar mein uski
Zindgi simmat gayi hai .

Aaj ussne dil mein ek inschaye kiya hai.
Kuch banker hai usse sab ke samne aana..
Aapne pariwar chahre hai wo noor laana hai,
Jo halat ne unse cheen liya hai.
Muhabat ka koi dastur nahi hota,

Tumse door rahkar adhurapam muje satata hai.
Pyaar bhare pal.lon ki yaad dilata hai.
Yeh churaye huye lamhe bhi ajib hote hain.
Kuch dair ki roshni dekar andheron mein
Kho jate hain.

Tum mere nahi ho sakte iska ehsaas hai.
Tumhari duniya kisi aur ki ammant hai.
Kash hum pahle mile hote.
Pyaar ke phool tab khile hote.

Muhabat ka koi dastur nahi hota,
Kab vo dil mein ghar kar jaye.
Jab tak hume paata chalta hai.
Hum dil ke haaton majboor hote hain.

Apne sare sapne tumhari zindgi ke saath
Bandh dete hain.
Achanak sachai samne aati hai
Tum par kisi aur ka adhikar hai.
Hum loote huye musafir ki tarah
Haat.on ki lakiron mein apni
Taqdeer ko doondte rah jate hain.

Khuda se shikayat hoti hai.
Jodiyan jab aasman par banti hain
Toh zamin par unhe saath kyun nahi milta.
Duniya ke theqedar deewar kyun khadi
Kar dete hain.
Pyaar bhare Dillon ko kyun alag kar dete hain.
DEDICATED TO MY kOMII BACHA

Aaj meri bagiya ka ek phool
Mere mali ne hi churaliya.
Har phool se pyaree
Us phool kee soorat thee
Shayad mali ko mujse bheejayada
Us kee Zaroorat thi.

Jab jab maine socho mera gulshan
Mukamal hai
Koi mere phool chura le jata hai.
Komii mere pyaare pariwar ki jaan thi
mujhe lagata tha hamara ayeena hai
hamree pahchan thee
Abhi socha na tha yeh din dekhna padega.
Jeewan ka ek din bhee
us ke bina aage barhega

Bitya aap jis bhi jagah ho humse
Door nahi rahogee
Ham sada sunenge tumhe
Tum hamesha kahoee
Jo pyaar aap hum sab ko dekar gayii ho
Vo jindgi bhar humre sath rahega,
Ka dariya tum se ham tak ham se tum tak
Bahata hai, bahega

Ek deep ki tarah aapne apne pyaar
Ki jot sab ke Dillon mein jagayi hai,
Vo sadaa jalti rahegi.
Ek din aayega jab hum sab aapki
Duniya main ayenge
Ek din hoga ham phir tumhe payenge.

Tab dil ke sare armaan pure karenge
Bahut sari dancyy hogi, sub ke nick
Change kar denge, aap jo chahogi
Hum sab vo hi karenge
phir tumhe bahon main bharenge.
App hamesha meri komii bacha
Rahogi, jo meri jaan hai, cfm ki
Pahchan hai.
na tum hame bhool saktee ho kabhee
na tum ko bhulana asan hai
Tumhari ankhon mein jo pyaar dekha hai.

Tumhari ankhon mein aaj jo pyaar dekha hai.
Dil kee dharakno ko jo dede wo karar dekha hai
Jo tum zubanse na kah sako vo afsana dekha hai
Maine tumharee ankhon main zamana dekha hai

Lub par jo baat atakti hai vo bahana dekha hai
Mera kho jana tumhaar bahonme chhipana dekha hai
Ankho mein tamanna, dil mein chuppaJana dekha hai
Chhatt par khule akaash taale raatonko jagna dekha hai

Tumhre sath lamhon mein rat o din guzar jana dekha hai
Dhakan mein basane ki abhilasha ka khazana dekha hai
Pure na honge yeh khawab, Basane bhahana dekha hai
Sapne main puree zindgee poora Ek zamana dekha hai