Tuesday, May 02, 2006

Yeh kaunsi kashish hai.
Jo baar baar uss aur le jaati hai.

Andekhi raah par jinke
Raaste kathiin hain
Reit ka mahal kahan ban payega
Hawain usse uddaa le jayengi.

Samundar mein kastiyaan
Utar toh jati hain
Par sabko milte kahan kinare hain.

Kuch kastiyaan bicch raah
Mein hi doob jaati hain.
Tumahari har pareshani mein

Tumahari har pareshani mein
Sath rahna chahti hoon
Har duhk har khushi bantna
chahti hoon

Kyun udaas ho is tarah,
Agar ghum aayen hain toh
Mitt bhi jayenge.

Dard ke badal chath bhi jayenge.
Subah ka suraj nayi roshni layega.
Tumhari zindgi kushaal kar jayega.

Hum uss rah mein phool bichayenge
Jis rah se tum gujar kar jaoge.