Wednesday, April 12, 2006

Aapke nishan dhoond rahain hain

Kya aapne bhi kabhi humhe, is kadar yaad kiya hoga.
Kya aapka dil bhi, humare liye tadpa hoga.
Kya aap un rahon par gaye ho ,
Jahan se hum gujarte the kabhi,

Kya unn phoolon ko chua hai.
Jinhe humne mil kar lagaye the.
Kho gaya vo sab, aur rah gayin hain sirf yaadain
Hum aaj bhi unn rahon par akele
Aapke nishan dhoond rahain hain.
Kyun aate ho dene dard ko.

Kyun aate ho dene dard ko.
Kyun le jate ho khushiyon ko.
Sapno ki duniya se hum
Bahar nikal kar aate hain.
Tum fir unmein le jate ho.
Kyun aate ho dard dene ko.

Hum hi nadan hain jo.
Har bar maan lete hain.
Aapse pyaar hai isliye.
Jaan bhi de dete hain.

Waqt tham jata hai humara.
Dil ki dadhkan rook jati hai.
Aapke jane se jan bhi chali jati hai.
Kyun aate ho dard dene ko.
Yeh dost hum tere hi rahenge

Dost mila bhi toh uss waqt jab hum toot chuke the.
Humhe koi apne kareeb,chahiye tha.

Tera aana mere liye vardaan ban gaya
Shayad rab ko bhi taras aagaya

Aab na mange.enge rab se kuch.
Duayon ke roop mein ussene humhe,
Ek farishta baij diya, zindgi ki khushi dedi.

Sanjo kar rakhenge har uss sapnoko,
Jo tumhari ankho se dekhenge.
Yeh dost hum tere hi rahenge
Kahin tum majboor ho toh kahin hum.

Koi bhalaa apni zindgi se bhi rooth sakta hai.
Inhi sawalon mein ulaz kar rah gayen hain.

Ek masoom sa chahra lekar aa jate ho samne.
Apne isi andaaz se lubha jate ho humhe.

Kabhi pyaar toh kabhi gussa aata hai.
Kabhi rone ko g kar jata hai,

Aane ka wada karte ho par aate nahi.
Intazaar ki lambi judai de jate ho.

Kahin tum majboor ho toh kahin hum.
Isliye naraaz bhi naa ho paate hain.
Char din ki khushiyan

Char din ki khushiyan,
zindgi bhar ke
Ansoo ban jate hain
Har sahar sham ban jati hai.
Jis ghadi tumhari yad aati hai.

Hamari mahubaat bewafa nahi hai.
Waqt ke haaton majboor hai.

Kabhi gujro jo is dagar se
Unn ankhon ko dekhna jo pathra gayin hain
Ek nazaar tumhara dedaar pane ko.

Unn sansoo ko mehsoos karna jo
Tham jayin hain is dil mein.
Unn hawa. oon ko chuna,
Jo humse se ho kar gayin hain.

Yahin is rah par ek kabr hai hamari.
Agar bhule se thokar lag jaye toh.
Naraaz naa hona.
Isi bahane se pa jayenge sparsh tumhara,

Kabhi aaye agar yad hamari.
Do phool chadha dena hum par.
Bas itni si hai gujarish hamari.