Sunday, September 03, 2006

Khud apni nazar laga baithi.

Khud apni nazar laga baithi.
Apni zindgi mein aag laga baithi.
Sath tha humara har pal ka
Har ghadi hum dil mein rahte the
Din milne mein dhal gaya tha
Raat khayalon mein kat jati thi.
Zindgi yunhi sunhari ho jati thi
Humhe khud par rashk hone laga
Hum khud par hi itraa baithe.
Apni zindgi mein aag laga baithe.
Uss ghrii ko aab hum koste hain
Jab yeh kah diya karte the.
Kitni khusnaseeb hain hum.
Paya hai har pal sath tumhara
Naa hoga aab tum bin guzara.
Fir ek din aisa aaya
Muj se kho gaya mera saaya.
Hum rah dekhte rah gaye.
Koi le gaya mujse mera sahara.
Kuch din ki hasi ansooyon mein
Badaal gayi
Jahan roshni ki umeed thi
Wahan andheron mein kho gayi.
Mere pyaar ne mujse muh mo.od liya
Mera dil ek hi pal mein thod diya
Khud apni nazar laga baithi.
Apni zindgi mein aag laga baithi.

No comments:

Post a Comment