Monday, September 29, 2008

Zindagee

Ek buree ik achchee zindagee
Sub ki apni apni zindagee

Kisee ke man meN har pal uljhan
Ik pal chain nah paye hai man

Bhooka dhoop men koyee bhaage
Peechey inshan roTee aage

Kuch mehloN meN rahne waale
woh takleef nah sahne waale

unki hai aaraam zindagee
Khushiyan subh.o.shaam zindagee

Woh dulhan jo sajkar aayee
Sajan keg ghar meN kya apayee

Ik sauda hai uski zindagee
Samjhauta hai uski zindagee

Ik booRha insaan bechara
Bemaari aur dard ka maara

ChoR gaye sub beTe bhayee
Kaun khilaye roz dawayee

Aur woh nanha bhooka bachcha
Doodh keg gham men rota bachcha

maaN bachche ke gham kee satayee
usko bhooka dekh nah payee

bachche per yeh tyag kiya hai
maaN ne jism ko bech diya hai

sub ka apna alag hai jeevan
shaant nahiN hai aaj koyee man

buree lage ya achchi zindagee
sub jeete haiN apni zindagee

Sub yeh kahte haiN main tawaaiif hooN


Mera koTha mera muqaddar hai
Kaun kahta hai yeh mera ghar hai

Haar ke zindagee se aayee hooN
Main yahaN kub Khushee se aaye hooN

Main ne pahne jo paaoN men ghuNgroo
Mujh ko kahne laga tawaaiif too

Yeh nah socha keh Gham ki maaree hooN
Apni majbooriyoN se haari hooN

Jab baghawat meN sir uThaya hai
Main ne zalim ka koRa khaya hai

Ek pal bhee jo paaoN rok liya
Mujh ko subne lahoo lahaan kiya

Yaad aata hai mujh ko bhee bachpan
Mere maaN-baap unka woh aaNgan

mere dil per bhee mastee chaayee thee
maiN ne bhe ik patang uRaayee thee

Aaj Khud bun gayee hooN ek pataNg
Roz uRtee hoon ek Door ke sung

Mere paaon haiN aur ghuNgroo haiN
Ab yeh aanKheN haiN aur aansu haiN

Muskurahat ka ab nah koyii nishasn
Naam tou ab bhi hai mira “Muskaan”

Kaun hai jis se apna Haal kahoon
Sub yeh kahte haiN main tawaaiif hooN

Saturday, September 27, 2008

Sapne salone leke aayi neendiya rani

Sapne salone leke aayi neendiya rani
Soja beta soja sunayoon pariyon ki kahani
Resham ki dori makhmal ka bistar
Maa ke aanchal mein rahe teri zindgani
Soja beta soja sunayoon pariyon ki kahani

Badha hoke karna aise kaam tu
Ban.na sahara apne maa baba ka din raat tu
baccho ke man ko kabhee na dukahana
samjhna badon kee har baat too
har hansee me mil jaye teree nishanee
Soja beta soja sunayoon pariyon ki kahani

Ek din le aana pyaari si dulhan
lal jode mein pariyon kee shazadee
tu apne hee man se karana
ya mere man se karana apnee shadee
god men khilayoongee main teree nishanee
Soja beta soja sunayoon pariyon ki kahani

Milke aana tum apne chanda mama se
Neendiya lejaye tuze taron ke sehar mein
ya taron ko utha ke laye
raat bhar ko tere ghar mein thahre
chod ek jaye chandni ki nishani
Soja beta soja sunayoon pariyon ki kahani

aise meN Eid kaise manaaooN mire Khuda!


phTte haiN bum bikhartee haiN lasheN idhar udhar
RoteeN haiN maaeN baiThke bachchoN ki lash per
ujRe suhag ujRa hai kitnoN ka aaj ghar

aaii jahaN meN Eid magar kitnee bemazah
aise meN Eid kaise manaaooN mire Khuda!

bikhree huuwee hai maut qayamat hai har Taraf
badle ki aag sholaa-e nafrat hai har taraf
dil ka sukoon miT gaya waihshat hai har taraf

har samey aisa lagta hai ik shor hai bapaa
aise meN Eid kaise manaaooN mire Khuda!

kya bum tha maaN ko chheen ke bachche se le gaya
woh man jo ik sahara thee bachche ke doodh ka
ab bhook se taRapna hi qismat meN hai likha

jab zindagee hi ban gayee belutf.o.bemazah
aise meN Eid kaise manaaooN mire Khuda!

Allah aur Rasool se faryad hai miree
Ab is jahaN meN Khatm ho daihshat ki zindagee
Har dil ho gham se door harik ghar men ho khushi

dikhta nahiN hai khushiyoN ki manzil ka rasta
aise meN Eid kaise manaaooN mire Khuda!

Nira

Monday, September 15, 2008

Rakhi ka hauq


Mujse muh mod tum rah naa paoge
Aayega saawan tum bhi yaad aaoyege

Rishta nahi khoonka chanda se bhaiya
Bachon ke phir bhi mama tum kahlaoge

Kya hua tere ghar jo janam naa liya gaya
Lagegi gar chot muje tum bhi kahraoke

Badhaya tha jo haat zimedaari ka tumne
Kya meri doli ko haat bhi naa lagaoge

Rakhi ka haq bhai ka farz dono ko
Iss tarah rondh kar muje bhul jaoge

Aayega din rakhi ka dekhoge khali haat
Haat mein lye thal saamne muje paoge

Holi bhi pheekhi diwali bhi andheri hogi
Behan ke haaton se roli naa lagwao ge

Aayegi maut mangoongi vardaan khuda se
Aagle janam gudiyasi behan "Nira" hi paaoge

Kab se yakul baithi hoon aas lagaye



Kab se yakul baithi hoon aas lagaye
Koi toh aaye muje pyaar se gale lagaye

Tera beej hoon, janam lena chahti hoon
Maan ki bahein muje bhi jhoola jhoolayeiN

Tum jis khoobsoorat duniya mein rahti ho
Main vo duniya dekhna chahti hoon

Aajkal kya hua hai kyun bachon se sab roothe hain
Vigyan ki taraqee se bache bhi aab chunte hain

Beti aghar ho kokh mein, sauda kar lete hain
Dekar maut masoom ko kaise chain se rehte hain

or agar hua koi mujh mein dosh toh
Kya mera bhi gala ghont dogi maaN

Kya main tarasti rah jayoongi janam lene ko
Mamta bhare anchal, maan ke dood peene ko

Maan muje khud se juda na karo
Tera hi ansh banke aana chahti hoon

Bahut bar mri hoon janam se pahle hi
MaaN main tuze maaN bulana chahti hoon

MaaN apne aanchal mein chhupaale mujhko
Tere seene lagkar, hasna muskurana chahti hoon

Aab na socho,Muje janam de do maaN
Aab toh muje janam de do maaN

Vish se bhara ye "V' akshar...


"V" akshar itna vinashkari kyun hai
Kyun iss.se milte shabd rote hain
Vaishya, viklaang, vidhwa teeno
Dard se bhare hote hain.

Vaishya koi bhi janam se nahi hoti
Haalat ya majboori usse kothe par
Le jati hai., bhandh kar ghoongroo
Nachti hai rizaati hain. Chhup kar
Ansoo bahati hai.
Do pyaar ke bolon ko taras
Jati hai,
Maut ki duhayi ha roz
Khuda se mangti

Viklang koi bhi
Marzi se nahi janam leta
Phir kyun sab grina se dekhte hai
Usse bhi haq hai
Utna hi adhikar hai
Jitna sab ko hai.
Kyun usse char diwari tak hi
Simat kar rakhte hai
Kya usse pyrra ka huq nahi
Kya uske jazbaaton mein
Kami hai-----------
Ya duniya ka dil itna chota hai
Batao yeh kiska kasoor hai.

Vidwaaaaaaaaa
Yeh shrap ki tarha akshar hai
Jisse bhi yeh jud jaye
Uski toh zindgi lash hai
Pyaar toh khoti hai masoon
Log uska jeena bhi
Cheen lete hain
Shingar toh chhoot jata hai
Uska niwala bhi cheen lete hain
Bistar par pati ka saath jata
Kambhakt bistar bhi
Cheen lete hain

Har aor vinash hi milta hai
V shabd ka kaisa yeh vikar hai
Vaishya, viklang vidwa.
Sare hi is vinash ka shikaar hai

Hum tera pyaar paa ker sanbhalne lage


Do qadam saaath mere woh chalne lage
Aur mere gham khushee meN badalne lage

Dil ki dehleez pe jane kaun aa gaya
dil ke armaan sare nikalne lage

Neend ne apni aaghosh meN le liya
Sham hote hi hum aankhen malne lage

Dhoop ka kaam barsaat ne kar diya
Barf ki tarah hum bhi pighalne lage

Garm saasoN ki ik Door see buNdh gayee
Garm saasoN se ehsaas jalne lage

Uski aawaaz aur uske sangeet per
Hum thirakne lage hum machalne lage

Dar yeh tha le nah doobeN haem gham kaheeN
hum mohabbat ki kashtee meN chalne lage

aise doobey mohabbat ke sagar meN hum
mauj-e toofan bunke machalne lage

ThokareN zindagee ne bahut deeN magar
hum tera pyaar paa ker sanbhalne lage

Garmi-e ishq :Nira: madhur cheez hai
Kaash iss aag meN woh bhi jalne lage

Sab ke paas maa, bahan aor beti hoti hai

Chichore pan ki
hadh hoti hai
Sab ke paas maa, bahan
aor beti hoti hai,
Sare aam phir bhi izzat
Kyun Nilaam hoti hai.

Inki bataon se kitni
takleef hoti hai
kaise inki baat,
dilko todh deti hai
Tadap aor dard se
chhot dilpar lagti hai
Aansooyon se ankh
bhigoti hai.

Sare aam nikalna
mushil hota hai
kaise kaise izzat
ki holi jalti hai

kuch toh sharam karo
duniya ke thekedaro
apne se nahi toh
rab se daaro
tumhare ghar
bhi toh beti hoti hai

jise bazaar mein
aaj becha hai
chand seekon ki khatir
kal bazaar mein
tumhari beti
bhi biK sakti hai

nasheki halat mein
doob jate hain is kadar
khud ki patni, doston
ke hawale hoti hai.

Behudgi badh gayi.
Gundagardi har aor
apni hi izzaat
Daldal ki nazaar hoti hai.

Chichore pan ki
hadh hoti hai
Sab ke paas maa behan
aor beti hoti hai,

Maiya aaj naa bandhiyo mohe

Maiya aaj naa bandhiyo mohe
aaj toh sabhon ke ghar jano hai
makhan bhari matkiyon se
aaj makhan ko bhi churano hai.

Maiya vo toh jhoot mooth
gussa dikhawat hai tose
makhan khud hi toh rakhen hai
dekhna meyaa sachi kahoon
gawalne mori rah dekhat hai
Maiya aaj naa bandhiyo mohe

more mitr sare aaway hai
more bin makhna naa khawe
maiya tu maa hai sabhki
mohe kyun tu aaj rulaye

panghat aaj rangilo hai.
Mori bansuri aaj matwali hai
Gopiyan sajhi savrin hain
mohe un sang ras rasano hai
aaj radha ko bhi jalano hai
naa bandhiyo mohe aaj maiya

door kahin meera bhakti mein
vilin hai mere khayalon mein.
Aaj meyaa maine usko
apne dars karano hai
vish ke pyaale ko maine
amrit aaj banano hai
naa bandhiyo mohe aaj meyaa

sudama ko zaroorat mori
chawal ka karz chukano hai
chube huye kannton ko bhi
apne haaton se nikalno hai
dekhar raj mahal usko
dosti ka farz nibhano hai
naa bandhiyo mohe aaj meyaa
mohe saab ke kaam aano hai