Friday, April 28, 2006

Yadon ke silsile

Dard ankhon mein ansoo bankar bahta hai.
Dil ko ek zakham de jata hai
Yadon ke silsile chalte rahte hain.

Rook jata hai waqt unn lamho mein.
De jata hai fir ek dhuk.
Rah jate hain hum fir tanha.
Ek bar fir unn viran rahon mein
Asman ko chuna chahti hoon

Aaj ek chidhiya bankar hawa mein
Udhna chahti hoon
Un bulandhiyon ko chuna chahti
Jinki is dil ko chah hai,

Is pedh se uss pedh par jana chahti hoon
Asman ko chuna chahti hoon.

Tumhari ghar ki chaatt par aana chahti hoon
Tumhari khushiyan dekhna chahti hoon.
Un mein shameel hona chahti hoon

Kabhi nazaar aajaun tumhe toh
Band kar lena pinjre mein is chidiya ko
Hogi maharbani tumhari.
Sari umar kaat lete

Jin rah par chalain hi na hon
Dil ki awaaz ko kaise jaan lete,
Koi ishara hi kar dete
Hum jate huwe lamho ko tham lete,
Pyar ka ijhar hi kar dete

Humara chalte huye haat hi tham lete.
Pyaar aapke dil mein hai
Hum ankhon se padh lete
Kuch aisi baat kar jate
Hum sumhari yaado ke sahare
sari umar kaat lete