Thursday, April 18, 2013

Qataat / Muktak

aane me thodi der hui. ho gaye khafa 
tumse to intzaaar bhi na ho saka mera
ik wo bhi waqt tha mera kya bhul gaye tum
raftaar-e-zindagi se koi wasta na tha


GEET


Dekha humne dekha koi bhi pass nahi
Kaise jiyen ab jeene ki koi aass nahi
Jo bhi mila duniya se uska shikwa kya
Ab kya sochen toota apna sapna kya
yani aab koi bhi apna khas nahi
Dekha humne dekha koi bhi pass nahi
Kaise jiyen ab jeene ki koi aass nahi
apne bankar sab dhokha dete hain
Vishwason ke bandhan toda karte hain
ab humko apne pe hi vishwas nahi
Dekha humne dekha koi bhi pass nahi
Kaise jiyen ab jeene ki koi aass nahi
Karobar mein apne saamp se daste hain
ye kaisa rishta hai rishte ki paribhasha hai
yeh rishta hai toh humko raas nahi
Dekha humne dekha koi bhi pass nahi
Kaise jiyen ab jeene ki koi aass nahi

Ghazal


Dil mera nahiN ab to mere iktiyaar me
sab kuch bhulaye baithe haiN hum unke pyaar me
chahat ka rang unki hampe aisa chadh gaya
har wqat doobe rahte hain hum to khumaar me
hamko yaqiN hai aap chale aayenge ik din
hamne jala rakhe hai diye intazaar me
hum jante hain aap to fareb karenge
Jootha hi sahi chain to hai aitbaar me
hamko tu pyaar se hi faqat maar sakega
varna asar nahi tere khanzar ki dhaar me
'nira' ye soch kar ke taslli na khudko do
paya hai usko hamne yaqinan hazaar meN