Sunday, September 03, 2006

Pardesh mein basse hain

Pardesh mein basse hain, desh ki yaad aati hai.
Sondhi sondhi mitti ki khushbu, barish ki yaad dilate hai.

Sawan ke woh jhoole, jinpar sakhiyan jhoolti thi.
Mitti ke woh diye, jinse diwali roshan hoti thi.

Har mandir har church har gurudwara yaad aata hai.
Masjid ki Ajaan, apne desh ki yaad dilate hai.

Unn waddiyon ko kaise bhul jayoongi
Baraff ki chaddar mein jo lipti thii

Phoolon ki kayariyon mein joogno bhi jagmagate the.
Har batakte musafir ko ek nayi rah dikhate the.

Kaise naa yaad karoon jo piche chod aayi hoon.
Ek haat bhai ka bhi hai, jo rakhi bina soona hai.

Kuch yadain hain kuch mazaar hain.
Jin par maa baba ka naam likha hai.

Uus mitti mein hi jana hai mujko,
Pardesh toh pardesh hai, apne desh le jana mujko.
Bas yeh choti si, ek tamaana hai.

No comments:

Post a Comment