Thursday, June 15, 2006

Har baar kahte ho sath nibhaoge.
Fir is sath mein itna dard kyun hai,
Itne fassle kyun hain.

Tumhare sivaye koi aur hai nahi
Is dil mein hamare.
Fir bhi hum Kyun tadapte hain ek
Deedar pane ke liye.

Har baat dil ki khahi nahi jati.
Fir hum kyun umeed karte hain,
Jaan.ne ke liye.

Intazaar mein ankhe num toh kar lete hain
Ansoo fir bhi kyun chuppa lete hain

Wada bhi karte ho aur nibhate bhi nahi.
Fir bhi aitbar hum kyun kar lete hain.
Hum tumse pyaar kyun karte hain
Naumeed ki roshni mein
Umeed ki kiran jagmagayi hai.
Badhe inrazaar ke baad
Aaj meri guriya mere ghar aayi hai.

Usske nazuk haaton ne jab thama
Mera haat.
Ek pyaari si muskaan ki huyi mujse
Mulakat.
Waqt tham gaya mera, jannat mil
Gayi mujhe.

Din, mahine aur saal gujarte gaye.
Meri woh nanhi si guriya badhti
Chali gayi.
Mere dil mein basti chali gayi.

Pal pal badhti bitya mein.
Kayi badlav aayen hain
Kabhi woh alhadh si guriya rani hai
Aur kabhi woh sabki nani hai.
Usski baton mein muje, apni
Jhalak dikhayi deti hai.

Aaj vo sundar nari dil ki badhi
Pyaari hai.
Meri vo dulari, sabse vo nirali
Yeh meri bitya rani hai
Gairon mein apna paya hai usse.

Kitni khushiyan hain charon aur.
Sab ki muradain puri huyi hain.
Rab ne aaj sabki baat soon li hai.
Bin mange bhar diyen hain daaman
Ussne
Itni khubsoorat saugaat di hai.

Pyaar ke sadke karti hoon main
Lakhon ki bhid mein dhoonda
Hai usse.
Gairon mein apna paya hai usse.
Badhi mushkil se apna banaya hai.

Judai ki lambi raat aab khatam
Ho jayegi.
Badhi khubsoorti se yeh zindgi
Gujar jayegi.
Kabhi juda na honge aab hum.
Aaj Rab se yeh hi dua mangte hain.