Mujse muh mod tum rah naa paoge
Aayega saawan tum bhi yaad aaoyege
Rishta nahi khoonka chanda se bhaiya
Bachon ke phir bhi mama tum kahlaoge
Kya hua tere ghar jo janam naa liya gaya
Lagegi gar chot muje tum bhi kahraoke
Badhaya tha jo haat zimedaari ka tumne
Kya meri doli ko haat bhi naa lagaoge
Rakhi ka haq bhai ka farz dono ko
Iss tarah rondh kar muje bhul jaoge
Aayega din rakhi ka dekhoge khali haat
Haat mein lye thal saamne muje paoge
Holi bhi pheekhi diwali bhi andheri hogi
Behan ke haaton se roli naa lagwao ge
Aayegi maut mangoongi vardaan khuda se
Aagle janam gudiyasi behan "Nira" hi paaoge
"Kya hua tere ghar jo janam naa liya gaya
ReplyDeleteLagegi ghar chot muje tum bhi kahraoke"
Bahin NIra!
mere aansu chhalak aaye aapki in lines ko padh kar
Kaash is Bhayee ko kudrat itna kuchh deti ki Bahin ki DOLI aankho ke saamne Uthwata.
This comment has been removed by the author.
ReplyDeletebahut sundar tareeke se bhaavanaon ko prastut kiya hai aapne.....badhai
ReplyDelete-Madhuri
Sachin ji
ReplyDeleteaapko yahan dekhkar acha laga.
aapka bahut bahut shukriya
nira
raj bhai namaste
ReplyDeletehar bhai ka yeh sapna hota ki vo
apni behan ki doli uthaye..
aapko nazm pasand aayi
bahut bahut shukriya.
madhuri ji
ReplyDeleteaapko nazm pasand aayi shukriya
aapko yahan dekhkar bahut acha laga.
nira
Unko Yeh Lagta Hai Hum Unpe Marte Hain
ReplyDeleteHumko Yeh Lagta Hai Ke Who Hum Pe Marte Hain
Daur Zindagi Ka Guzar Jayega Yoon Hi Humdum
Na Who Kuchh Poochhte Hain Humsey..
Na Hum Kuchh Keh Paate Hain… ♥prince♥
dipak kumar ji
ReplyDeletekhubsoorat panktiyon se nawaaza hai
dhanyawaad