Do qadam saaath mere woh chalne lage
Aur mere gham khushee meN badalne lage
Dil ki dehleez pe jane kaun aa gaya
dil ke armaan sare nikalne lage
Neend ne apni aaghosh meN le liya
Sham hote hi hum aankhen malne lage
Dhoop ka kaam barsaat ne kar diya
Barf ki tarah hum bhi pighalne lage
Garm saasoN ki ik Door see buNdh gayee
Garm saasoN se ehsaas jalne lage
Uski aawaaz aur uske sangeet per
Hum thirakne lage hum machalne lage
Dar yeh tha le nah doobeN haem gham kaheeN
hum mohabbat ki kashtee meN chalne lage
aise doobey mohabbat ke sagar meN hum
mauj-e toofan bunke machalne lage
ThokareN zindagee ne bahut deeN magar
hum tera pyaar paa ker sanbhalne lage
Garmi-e ishq :Nira: madhur cheez hai
Kaash iss aag meN woh bhi jalne lage
Woh Mohabbat karti thhi..!
ReplyDeleteKabhi woh sirf hum par hi marti thhi,
Bepanaah mohabbat kiya karti thhi,
Jaane kis ki nazar lag gai us rishtey ko,
Woh fir to mere naam se hi darti thhi,
Bewafa kahen ya fir waqt ki meharbani,
Woh chali gayi jo har waqt dil mein rahti thhi,
Hamara kya hai ye zindagi gujaar lenge,
Ye dil to bus unke liye hi fikar karta thha,
Woh masoom nahin aadat se mazboor hain,
Jo shaayad humse behtar ki talash karti thhi,
Ye to waqt bataayega kiski manzil kahan hai,
Har shakhs shaayad is haqeeqat se darti thhi,
Bhulaaye se bhi nahin bhoolte hain woh din,
Koi jab "Priyraj" ko apni Jaan kaha karti thhi................
"Raj"
pratyek sher umdaa hai aur apni individuality ki garimaa banaaye rakhne mein bhi samarth hai.....bahdaai
ReplyDelete-Madhuri
aapki ghazal bahut umda hai
ReplyDeleteshukriyr
nira
madhuri ji
ReplyDeleteaapke saharniye shabd hanesha mere saath rahainge.
dilse shukriya adaa karti hoon