Nain mere darshan ko tarsey
Man meN har pal aag si barsey
Vyakul hokar ghar meN aaoN
Nischal ho kar niklooN ghar sey
Nadiya meN ik baaRh see aayee
LehRen dekh kar maiN ghabrayee
Kaun sahara dete mukh ko
Tinka tak maiN dhooNdh na paayee
Hain akash meiN badal kale
Jhum rahe haiN jhumne wale
Neer meri ankhon se barsey
Nishchal man ko kaun saNbhale
Aise mein logon ki bateN
Chhubne wali teekhee bateN
Dil pe nashtar se chalte haiN
Sun kar sab ki kaRvee bateN
Man meN har pal aag si barsey
Vyakul hokar ghar meN aaoN
Nischal ho kar niklooN ghar sey
Nadiya meN ik baaRh see aayee
LehRen dekh kar maiN ghabrayee
Kaun sahara dete mukh ko
Tinka tak maiN dhooNdh na paayee
Hain akash meiN badal kale
Jhum rahe haiN jhumne wale
Neer meri ankhon se barsey
Nishchal man ko kaun saNbhale
Aise mein logon ki bateN
Chhubne wali teekhee bateN
Dil pe nashtar se chalte haiN
Sun kar sab ki kaRvee bateN
JAB HOTA HAI MAN VYAKUL,TO LAGTI HAI TEEKHI DEKHNE WALON KI NAZRE
ReplyDeleteAPNE ME KHO JAO TO NASHTAR BHI PHOOL LAGENGE
JEEVAN TO AISE HE RAHEGA, HUM YA TUM NA JANE KAHAN
RAHENGE
anonymous ji
ReplyDeleteaapne meri kavita ke ehsaason ko samajha
saraya, dilse shukrguzaar hoon.
nira,
ReplyDeletezindagi ki sachchai bayan karti rachna hai...logon ki karavi baaten sunani hi padati hai aur sahanee bhi.....marmik rachna.
SISTER.GOOD POETRY..THANKS JOINING MY BLOG..PASTE FOLLOW html TO BLOG..THANKS..
ReplyDeleteNira bade saral andaaz mai aapne zindagi ki kuch suchchaiiyaa.n saamne rakhi hain is kavita mai, gird o paish ka ye ghubaar saans laina mai dushwaari karta hai, bhut acha likhti hain aap, likhti rahiye
ReplyDeleteaslam
बेहद सरल सहज और सरस भाषा में बहुत सुंदर कविता नीरा जी !
ReplyDeleteखास बात यह भी है कि आप ने गध कविता के इस दौर में बह्र/छंद में एक सुंदर कविता बेहद कलात्मकता के साथ बुनी हैं . मेरी ओर से हार्दिक बधाई स्वीकार करें .
आलम खुर्शीद
bahut bahut shukriya Aslam ji aap yunhi saath dete rahiyega yeh hi guzarish karti hoon. allah Hafiz
Deleteबहुत सुन्दर सृजन, आभार.
ReplyDeleteकृपया मेरी नवीनतम पोस्ट पर भी पधारने का कष्ट करें, आभारी होऊंगा .