Meri raaton ki neend udhate ho
Aake haule haule kaano mein
Kuch baat kah jate ho
Kabhi chand toh kabhi
Mahtaab bulate ho
Haulle se pyaar jatate ho
Taron ki raat mein
Chaa.tt par bulate ho
Chandni ki chanv main
Bharke aagosh mein
Thapki se sulate ho
Haul.le se pyaar kar jate ho
Kannte ne chube panv mein
Phool bikher dete ho
Rang surkh rahe gallon par
Halke se choom lete ho
Nazaar naa lage kisiki
Kajal ankhon main
Sajaa dete ho
Jaane kya kya karte ho
Aao aaj hum bhi kuch
Kah dete hain.
Apne haaton ki likron mein
Naam tumhara likh dete hain
Bharke mangh apni tere haaton se
Zindgi tere naam likh dete hain
“Nira” dheerese waada kar dete hain
sundar nira ji..
ReplyDeleteshabdon ki abhivayati bahut sundar hai...jo dil me hai use badi masoomiyat ke sath aapne..shado ka jama pehna diya..!
kahi kahi lay thodi tuti hai..
par antim pera us kami ko puri karta hai..
keep it up..![:)]
nira jee
ReplyDeleteaapne kitne saral andaaz men wo likh diya jo bade-bade granthon men bhi nahin likh pata // gagar men saagar ki abhivyakti ke liye badhai
Apne haaton ki likron mein
Naam tumhara likh dete hain
Bharke mangh apni tere haaton se
Zindgi tere naam likh dete hain
“Nira” dheerese waada kar dete hain
AAPKA DOST
Dr. Vijay Tiwari "Kislay"
JABALPUR INDIA