Sunday, February 25, 2007

Aaj hume hadh se gujar jana hai.

Aaj hume hadh se gujar jana hai.
Tumhe apna sab kuch mana hai.

Waqt ka kya barosa hai ae dost
Kisne kisko kab chor jana hai.

Dilon ke fasle mittane hai
Ek duje main sama jana hai

Raaton mein khawab lekar.
Dil mein ghar sajana hai.

Koi bahane ki jaroorat nahi
Zindgi ko pyaar tak le jana hai.

Paane ki seema nahi hai.
Aaj tum par hi lut jana hai.

Aaj tum mein samaa jana hai.
Jeevan yahin thum jana hai,

Tumhari bahon sab kuch paana hai
Aaj hume hadh se gujar jana hai.

No comments:

Post a Comment