Thursday, February 16, 2006

Jab tak darad chupayatha tha


Jab tak darad chupayatha tha,
Hasi ko ankh mein basaya tha,
Dil ki baat chupee huyi thi
Sadhma naa hum ne dikhaya tha.

Par aab baat kuch aur hai.
Haalat badaal gayen hain.
Zazbaton. ne nayi karwat li hai.
Khud ko hum ne jan liya hai,
Bekasoor hain, ye mana liya hai

Nahi bahenge aab ansoo.oun ke
Bhawar mein. aapne aapse aaj
Ye wada kiya hai.

No comments:

Post a Comment