Friday, October 17, 2008

Sub yeh kahte haiN main tawaaiif hoon

Mera koTha mera muqaddar hai
Kaun kahta hai yeh mera ghar hai

Haar ke zindagee se aayee hooN
Main yahaN kab Khushee se aayi hooN

Main ne pahne jo paaoN men ghuNgroo
Mujh ko kahne lage tawaaiif  sab

Yeh nah socha ke Gham ki maaree hooN
Apni majbooriyoN se haari hooN

Jab baghawat meN sir uThaya hai
Main ne zalim ka koRa khaya hai

Ek pal bhee jo paaoN rok liya
Mujh ko subne lahoo lahaan kiya

Yaad aata hai mujh ko bhee bachpan
Mere maaN-baap unka woh aaNgan

mere dil per bhee mastee chaayee thee
maiN ne bhe ik patang uRaayee thee

Aaj Khud bun gayee hooN ek pataNg
Roz uRtee hoon ek Dor ke sung

Mere paaon haiN aur ghuNgroo haiN
Ab yeh aanKheN haiN aur aansu haiN

Muskurahat ka ab nah koyii nishasn
Naam tou ab bhi hai mira “Muskaan”

Kaun hai jis se apna Haal kahoon
Sub yeh kahte haiN main tawaaiif hooN

Thursday, October 16, 2008

Ahankaar

Ahankaar dushman hai dushamni baRhata hai
apnno ko bhee apnoN se door hi le jata hai

Ek ghamandee insaaN ko bolna khub aata hai
Woh tou apne hoTon se zahr hi girata hai

Ahinkaar ka mara sukhse ji nahin pata
Suwarg jaise ghar ko bhi nark hi banta hai.

Koii apne paise per koii apni surat per
Koi apne mahloN per sub se Bhaav kahata hai

Koee kamyaabi per itna naaz karta hai
Apni kaamyaabi ke khud hi geet gata hai

Yeh Guroor ka mara jo bana hai miTTee se
Ek din bikharna hai yeh bhi bhool jata hai 

Pyaar jiske dil meN uske baat mat poocho
Woh Khushee se jita hai sub ko bhi hansata hai

Friday, October 03, 2008

Hum teri Aulad

Hum teri aulad
Karte hain fariyaad
Sab pariwar ke saath hain
Hum kyun hain aanath?

Kabhi kudrat ne
Toh kabhi insane ne
Har aor tabhahi machaiyi hai
Kahin par bookamp aaya
Toh kahin par
Nadiyon mein badd aayi hai
Kisi ne sampradayeek
Umm.aad badhaya
Toh kisi ne
Baarudi antakh failaya.

Dharti phatee Ghar toote
Aapno se apne choo.te
Bacha na koi saath
Hum hogaye anaath
Hum bhi padhna chate hain
Doctor, vakil ya
Engineer ban.na chate hain
Roti kapde aor chhatt ki
Humari bhi hai iccha
Phir kyun lete ho
Humari kathin pariksha

Kiske aage failain haath
Kisse karain fariyaad
Kisse jhukayen maath
Kaun hai jo rakhega
Seer par haath
Maa ki mamta
baba ka dular
Bhai behan ka pyaar
Paane ko hum hain bekaraar.

Bhedon ki tarha
Hai humara haal
Sab karte hain kinara.
Nahi deta koi sahara
Maile aor phatte kapadon se
Dhakte hain tann
Sahte hain
Garmi aur theethoorun
Hum nahi rah paate
Kabhi sukoon se
Kyun aaj mahnga hai
Pani bhi khoon se

Sehkar suraj ki dhoop
Aor pait ki bhook
Sharir gaya hai sookh
Ma.th karo.
Dil par aaghat
Hum nahi faulaad
Hum teri aulad
Karte hain fariyaad.

Thursday, October 02, 2008

jo pyaar tum mujhse karte ho.

muje apni ghazalon mein likhte ho
mere dard mein jeete marte ho
kya hai mujh mein itna
jo pyaar tum mujhse karte ho.

Le chalte ho khulli hawayon mein
meri julfum se tum khelte ho
kya hai mujh mein itna
jo pyaar tum mujhse karte ho.

Saatrangi indra dhanush par bhi
akash ki udhan.ne bharte ho
kya hai mujh mein itna
jo pyaar tum mujhse karte ho.

Har raat tanhainyon mein laiti
tum muje mein ehsaas bharte ho
kya hai mujh mein itna
jo pyaar tum mujhse karte ho.

Jo beet gaye sunehre sapne
unko kyun zinda karte ho
kya hai mujh mein itna
jo pyaar tum mujhse karte ho.

Pankh

Maine pankh laga liye hain
aao tum bhi pankh laga lo

aaj ek udhan bhar lain
le chalein hum khud ko
badlon ke uss paar
bhar le aaj jholi 
sitaron ke sang

banalein ghar 
pahadon par
bichayain chadar 
sitaron ki
suraj sang khelain holi

siraton ke deep jalakar
khuli waadiyon mein
ghoom aayain
gulmohar ke phool bichayain

kahin koyal ki kuhu kuhu
kahin papiye ki pihu pihu
soonkar jee bahlayain
aao aaj hum bhi 
apne pankh failayain.


Tawaif

Kya yeh mera ghar hai
kya main yahan
khushi se aayi
ya mera mukadar
khinch laya hai.

Bhandh ke panvn mein
-----------ghoongroo
kismat ne mujhe
nachaya hai.
Jitni baar inkar kiya
padhe kodhe
Sharir mera
Kahraya hai
kiya sharir lahu luhaan
zalimon ne ---------
nocha mujhko din raa
vahshiyon ne
lash ko bhi naa chho.de hai

Bhul gayi main
apna bachpan
maa baba ka angan bhi.
Bhai sang udhayi thi
patang kabhi
Uski dor bhi
Toot gayi
aaj bankar patang
bazaar padhi
naam diya maa ne prem se
------- muskaam
banke tawaif lutaa
di apni jaan hai

Naa dekhoon toh rooh kampengee

Meri ratain itni akeli guzaraingee
Yaadon ke bhawar mein tadapengee

Jab bhi sochta hoon daar sa lagta hai
Chandni raatain amawas bhikairengee

chhata hoon mein maikhane chala jayoon
Wahan bhi sanse tere naam par machalengee

Khayalon mein hi ghar basaya sanam
Tootega bharam toh ankhen barsaingee

Muskurata chehra nazaar se hatt.ta nahi
Naa dekhoon toh rooh kampengee

Wednesday, October 01, 2008

Deep tale andheraa

Aao aaj Khud ko jalaa kar
Andheraa miTaayeN
Bhar ke khushiyaaN jholii meN
Khud barbaad ho jayeN

Patangaa ban kar aaj
Apnii hastii miTaayeN
Pyaar hum is taraH
Har janam NibhaayeN

leiNge janam baar baar
Deep ko jyotii se milaayeN
Aayaa jo waqt intihaa kaa
Suulii par hum chaRh jaayeN

Badnaam naa kareN
MoHabbat nibhaayeN
Khud hee chita banayeN
Khud ko wahan bichayeN

Khud hee aag lagayeN
Khud hee khud ko jalayeN
Aisa aaj ek deep jalayeN
Ayo aaj muhabbat nibahyeN