Friday, May 23, 2008

Kisko awaaz de kisse Guzarish kare

Beete dino ki yaad aaj
darwaze par phir se
dastak de gayi------------
bandh kiye huye kuch
kiwad khol gayi.

Ek dhoondli si tasveer
Nochti nazaar aati hai.
Masoom si bachi
Yeh kahan janti hai
Jo haath jhoola rahein
Vo kahan kahan tak
Jaa rahe hain

Rishte ke naam par
Un darindo ke
Haaton se Nasoor Zakhan
ban Jate hain
Unke Chahre par hasi
Dil mein kalikh hai.
Woh jhonk ki
Bimari hain
Samaj par bhari hain

Jisne abhi chalna
Bhi na seekha
Bolna bhi na aata ho
Vo hifaazat kaise kare
Kisko awaaz de kisse
Guzarish kare

Badhti umar aur bebasi
Khud par vishwas
Kho deti hai.
Manti hai kasoor
Uska nahi
Himmat phir bhi
Tod deti hai

Dahshat ki mari
Bebas bechari
Ek deewar bana leti hai
Sanse leti – daar daar kar
Ek jeevit laash si rahti hain

Saturday, May 03, 2008

Waqt jaane kahan le aaya

Yeh khalipan kyun hai
Kyun mujh se mere ahsaas
dafna diya
Kisi ne rona manga
Kisi ko dard naa bhaya
Har koi muje seekhaane aaya
dard se nijaat dilaane aayaa
Khushiyan se daman
Bharne chala aayaa-- lekin

kisi ne yeh na dekha
Yeh badlav kahan Le aaya.
Ansoo bhi sookh gaye
Ankhen bhi pathara gayin
Muskurahat ne bhi muh
mod liyaa.
mera saaya bhi muje
dur chho.r gaya

Saanse chalti hai
Par sargam kahin choot gayi
Pyaar se khila dil,
Is kadar tadap gaya
dard mein jeeta tha dil
nahi jaanti zinda thi
yaa aab ek murda hoon
Ya ek khali lash.
yaa shayad ek khuli laash
Waqt jaane kahan
aaj le aaya hai

Dahshat

Har ore hai aag phaili
Dahshat ki
Kisne hai kheli holi
Aaj dharti maa ne
Bhi apni aankh bhigo li
Kya aatankwaadi janta hai
Maa kii godh ka soonapan,

Kya usne apni hi
Behan ka balatkar dekha hai.
Bhai ke toote ang
Lashon mein dhoonde hai.
Vo kya jane is
Kabr ka ahsaas
Yeh jalan yeh ghootn
kya hoti hai

Usne toh ek
Kamre se baith kar
Ek switch hi toh
Dabaya hai-------
Lashon par jashn
Manaya hai-----

Zamir kab jagega.
In haiwaniyat ke
ThekedaaroN ka
Kya barood hi hul hai
Inko insaniyat
Seekhaane ka.
Inke bhi ghar jalane ka

Dekho bahar nikal kar
Kahin inmein tumhari
Maa ya beti
Izzat ki duhayi De rahi hai
Tumhare bhai ke tukde
Toh nahi Sameit rahi
Aao apne antak ke
jurm ka aHsaas karo
kisi ka ghar jala hai
toh kisi ka sharir
tukadon mein padhe hain
Koi ne ankh khoyi.
Kisi beti ki laash padi hai
Aao aa kar dekho
Tumne kaisi yeh khoon ki
Holi kheli hai
kaisi yeh holi kheli hai

Sapna---Haqeekat se dur

Aaj hum bhi milkar-----------
Aisa hi gharonda banayein
Dil ko itne kareeb layein,
Pyaar ke vo phool sajayein.
Mahak jaaye jisse meraa aangan
Sapne ko sakar banayein
Bachche bhareN kilkaariyan
Jab nanhi si muskaan dekhoon-----------
Asha ke Deepak jagmagayein

Halke halke pavon se goojein
Payal ki jhankar -----------
Munne mein main tum ko paayun
Vishwas ke mein dip jalayoon.
Doon apni parchayi beti ko
Jo humara sammaan. kahlaye

Fir aaye vo suhani ghadi
Karke Bidhai beti ki -----------
Le aayoon ek gudiya payari si
Bane jo izzaat hamarii
Kare jo raaj is ghar par
Kahlaye vo bahu dulari

Deke zimmedaari saari
Hum karle yatra ki tyaari.
Pure kiye hain kartaw sare
Aab ram bhajne ki aayi hai baari.
Jagannath Temple, Sector 4

aaNkhen bhi pathrayee hain


Dil ka todna kaam hai uska, usko hunar yeh Khub aat hai
Koyee hamri yaden humse cheen kar jaise le jata hai

Jee bhar ke chaaha hai us ko, us ko dil se lagaya hai
Pyaar hamari bhool thee shayad dard saza mein paya hai

Pyaar mein humne chain ganwaya pyaar me haara man
Badley mein paya hai humne dard tadap aur Ghutan

Apni Khatta ke zaalim ne humpe lagaye haiN ilzaam
Chain gaya aaraam gaya ab tadpe hhum subH.o.shaam

Umr bitaayee jiske gam mein kab woh hamara yaar huuwa
Birha ki maari aankhon ko kab uska deedaar huuwa

us ki raah men humne aanKhen saari umr bichaayee haiN
Chehre ka bhi rung hai phikka aaNkhen bhi pathrayee hain

Pahli baar huuwa tha milna “Nira” jis din saajan se
Pyaar ke woh rangeen se do pal aaj bhi lipTe tann man se

hum pardesi logon ko tab desh ki yaad satati hai

barish jab barsey hey rim jhim hota hai man beqaaboo
miTTi se aane lagtee hai sondhi sondhi see Khushboo
sawan bhaadon ki ritu mein jab koyal geet sunaati hey
hum pardesi logon ko tab desh ki yaad satati hey

sawan ke woh jhoole jin per sakhiyan jhoola kartee thee
pyare pyare mausam thE woh aur nazaarey thE rangeeN
raat diyoN se Deevaali jab raushan ho jati hey
hum pardesi logon ko tab desh ki yaad satati hai

mandir se “Hari Om” ka nara aaker hamein jagata tha
Guru Duware ke duwar pe koii, Church mein koii jaata tha
Jab aawaaz azaan ki aa kar kaanon se Takraatee hey
hum pardesi logon ko tab desh ki yaad satati hai

burf ki chaadar mein lipTee thee desh ki har soonder waadi
rung birange chanchal pholon se mehki thee har kyaree
aaj bhi jab pholon ki Khushboo tann-mann ko mehkaati hey
hum pardesi logon ko tab desh ki yaad satati hai

kaise bhoolen ma-Baba ko sub kuch unse paaya he
Bhai ka hath bhi yaad aata hey raakhi bin jo soona hey
Jab apnon ka zikr chaley jab apnon ki baat aati hey
hum pardesi logon ko tab desh ki yaad satati hai

apne desh ko lauT ke jaayen dil mein yehee tamnaa hey
aye pardes mein rahne waalon apna desh phir apna hey
apne desh ki koii bhi cheez jab apne haath mein aati hey
hum pardesi logon ko tab desh ki yaad satati hai